Payoneer kya hai payoneer par account kaise banaye puri jankari

Payoneer kya hai payoneer par account kaise banaye puri jankari

Payoneer kya hai aur kaise kaam karta hai?  Aaiye aapko batate hai. Payoneer ek withdrawl ke madhyam se apne consumer ko payment karane wali company hai. Ye companny bhi lagbhag paypal ki tarah hi kaam karti hai. Payoneer pure world me faili hui hai aur apni service de rahi hai. Aaj hum apko batane wale hai ki payoneer par apna khud ka account kaise banaye aur ise kaise aap use kar sake.

Jaisa maine bataya ki Payoneer ek payment recieve karane wali company hai. Payoneer ko 2005 me launch kiya gaya tha Newyork  me. Aur aaj ye company apni service lagabhag 200 country me apni sewaye rahi hai. Payonneer ke paas 2 million se jyada user hai. Aur 150 se adhik currencies me apne consumer ko payment karati hai. To aage barhe aaiye jante hai account kaise banaye payoneer par.


Sign up for Payoneer account


Aapko payoneer par account banane ke ye step ko paar karne honge.
1. Getting started ( Basic )
2. Contact Details
3. Secuirity Details.
4. Almost Done  ( Ye last step hai jise bharne ke baad aap account ko use kar sakte hai. )


1. Getting Started

1.Payoneer par acconut banane ke liye aapko payoneer ki website par jaye.
2. Ab sign up par click kare aur ab ek page open hoga jisme aapko 4 step ko par karna hoga. Ab form kaise bhare yaha jankari de gayi hai.




  • Geeting started jo ki pahla charan hai.
  • Second step me aapko apne account ke prakar ko chunna hoga jisme aap personal account ke liye Individual ko select kar sakte hai. Yadi aap company ke liye account bana rahe hai to aapko Company select karna hoga. Isko select karne par kuch option barh jayenge jaise company ka naam , description etc.
  • Individual Par aapko apna naam, E- mail id, aur Date of birth ko bharna hoga. Dhyan rahe ki aapki age 18 year honi chahiye. 
  • Form ko bharne ke baad aapko Next pat click karna hai.

2. Contact Details

Ab Ek page open hoga jo agla step hoga isme aapko nimn kary karne honge.




  • First me aapko India select karna hai.
  • Second me apna Address daale aur teesre tab mme bhi apana address daale. Dhyan Rahe ki aapka adress 30 word se upar ka nahi hona chahiye.
  • Apne shahar kaa naam daale.
  • Apni pin code/Zip code dale.
  • Mobile Phone ko select kare aur usme apna phone number dale.


3. Secuirity Details

Ab aap NEXT par click kare aur agle step par aa jaye. Yaha par ek page open hoga jisme aapko nimn form bharne honge.

  • Apna possword daale aur usi possword ko dusre tab me confirm jaroor kar le.
  • apna security question ko select kare aur agle box me apna secruity question ka answer jaroor bhare. Yaad rahe ki aapka secuirity question ka answer login karte waqt pucha ja sakta hai. Isiliye secuirity ka answer yaad rakhe.

4. Almost Done last step

Ab NEXT par click kare. Ab ek page open hoga jisme se aapko ye bharna hoga.


  • Is box me aap ko apnni payment ki imformation deni honi jisse ki aapko payment mil mil sakte.
  • Apne Bank account ka bank ka naam likhe.
  • Apne bank account ka number likh.
  • Apne bank ka IFSC Code likhe jo aksar possbook par likha rahta hai.
  • Ab Apna Pan Card Number Daale.
  • Apne account ka prakar select kare. Saving account hai ya current account hai. 
  • Ab I agree , term and conditions par Tick karna hai . 
Ab Last me SUBMIT par click kare aur apna email id verify jaroor kar le. Finally aapka account ban gaya hai. 

Yadi aap kisi ke dwara payment lena chahte hai to aapko apni payoneer e-mail id deni hogi. Baad me payoneer aapke account ko check karega phir aapko aapka payment aapke account me kar dega. Aap iske dwara pure duniya me kisi bhi company ke dwara payment recieve kar sakte hai. Jab paisa aapke payoneer account me aa jata hai to Aapka Funds Aapke account me Payoneer ke dwara Transfer kar diya jata hai. Iske liye aapko kuch $ fees ki katauti bhi hoti hai.  Jo pahle se nirdharit hote hai.


Mujhe aasha hai ki aapko ye jankari achi lagi hogi. Aap apne Social account par share jaroor kare. Aur hamara page like kare last me hume subscribe karna n bhoole.⧭⧭