Google Map kya hai? Google Map ko kaise use kare Puri Jankari

Google Map kya hai? Google Map ko kaise use kare Puri Jankari

Google Map kya hai In Hindi , Google Map Ko Kaise Install Karke Use kare. Google Map Information In hindi . Ab wo jamana gya jab hum kisi raste ki talash me kagaj aur kisi ped ke chhalo par bane hue map ko dekhkar apne raste ko khojte the. Ab hum 21vi Sadi me hai. IS sadi me ab science ne itna devolopment kar diya ki sab kuch ek chote se gudget me sama gya hai. Chahe kuch bhi karna ho bas Chote se phone ko uthao aur apna kaam kar lo. Map ki baat kare to Google jo ki ek Commercial company hai. Usne Google map banakar map ki sab problem ko dur kar diya hai. Chahe hume kisi bhi raste par jana ho hum turant mobile me Google map open karke raste aur bhi turant pata kar lete hai. Is post me aapko Google map ki puri jankari hindi me Di jayegi ki google map ko kaise prayog  kare. Aur uske features tatha uske vibhinn pahluo ki jankari hum Is post me denge.


Google Map - A real Navigation


-

Google Map 

Google Map Google ke dwara banaya hua ek software hai jiske dwara hum apne raste ko khoj sakte hai, Us road par Traffic kitna hai, Hume hamare raste me kya-kya milenge aadi Sirf ek click me real jankariya deta hai. Google map ko hum Google ke dwara devolope ki gayi Operating System Android me Install karke use kar sakte hai.



Google Map Install kaise kare

Google Map ko Play store par Download kiya ja sakta hai. Waise Google map Sabhi operating system ke liye Availble hai. Aap Java, Android ke alawa apple mac aadi OS par install karke Google map ka Use kar sakte hai.

Android Par Play store se Google Map ko Download kare

1. Aap Apne Android me play store ko open kare. yadi aapka Play open nahi ho raha hai Or Play store par Id Aur Possword dalne ko kah raha hai Is post ko Jaroor parhe ki Play store ko Apne Email Account se kaise Open kare. 

Note - Waise Har android phone me Google map Pre-installed rahta hai. Jab aapka Google map Old ho jaye to Aap turant play store se open kar le. Kyoki Aapko old version par new feature nahi milte hai.

2. Ab Play store me Google Map likhe aur Search kare. Ab Google map Search Result par click karke open kar le. 


Google map ki puri jankari


3. Ab Install par click karke Installation Process Puri kar le.

5. Ab Aapko Play store open karna hai Open karne ke baad aap Apka Map Apne aap Location ko Open karne ki Promt karega. jise aap notification  bar se aap location ko on kar sakte hai. Location Ka dusra naam GPS hai. Ho sakta hai ki Aapke phone me GPS ka option ho to aap use on kar de.

6. Ab Google map Apne Us area ko show karne lagega jaha par aap hai. area ko track karne ke baad ek blue color ka mark aa jayega. 

7. Ab Aap apne real Location se kisi raste ko search kar sakte hai. 

Google map me sari information jaise Settelite, Traffic, Google Earth, Aur Bicycling ka option rahta hai Jiske bare me aap Aage ki Post me Janege. Aur Bhi Google Map ki Tricks ke bare me janne ke liye Aap hamari post ko parhte rahiye. 

Also Read>>

Yadi Aapko Is post ki jankari pasand aaye to New Updates ke liye hamara page like jaroor kare aur Is post ko social media par jaroor share.