On-Page SEO Kya hai Aur On Page Seo Ko Optimize Kaise Kare

On-Page SEO Kya hai Aur On Page Seo Ko Optimize Kaise Kare

Kya Aap On Page Seo Ke Bare Me Jante hai? Aapko Hum On Page Seo Ko Optimize Karne Ki Puri Jankari Apne Is Post Me De rahe Hai. Jaisa Ki Seo Ka Hi Ek bahut Bada Factor hota hai Apne Website me. Yadi Aap On Page Seo Nahi Karte Hai To yakin Maniye Aap Search Engine Se Traffic Lene Me Aap Badi Galti Kar rahe Hai.

on  page seo tutorial in hindi

On:Page SEO kya hai Puri Jankari

Jab bhi hum apne blog aur website par seo karte hai to us page aur article me in 2 tarah se seo techniqes prayog ki jati.
1. On-Page Seo Technique
2. OFF-Page SEO Technique
Yaha par hum kewal on page seo ke bare me hi janenge. 
On page seo ki techniues wo hai Jo hum website ki ranking aur traffic barhane ke liye kewal apne page par karte hai. Is technique me Bahari Sroto se kuch lena dena nahi hota hai. Isme wo sab shamil hote hai Jo kewal website se 
related ho. seo ki aur adhik jankari ke liye post parhe - SEO kya hai? Aur SEO ko kaise use kare puri jankari Hindi me

On Page SEO Techniques

On page techniques ko kisi website me use bahut tariko se kiya jata hai. Jo hum ek-ek karke bata rahe hai.

1. Social Sharing button ka Istemal

Lagbhag har Blogger theme me social sharing button inbuilt hote hai. Social button blog ke liye bahut important hota hai Kyoki wo aapke page ko share karne me madad karta hai. On page ke liye ek achcha sa social button apne blog par install karke rakhna chahiye. Jab koi visiter ko aapki koi post pasand aati hai to use wo isi social button se kisi social media par jaldi se share kar dega. Jisse blog ki traffic barhegi.


Social Share Button : on page seo



2. Url Or Permalink

Aap yadi koi post likhte hai aur usme aap post ke url ko optimize nahi karte hai to aap seo ko miss kar rahe hai. Hume Post ke sath sath uske permalink ko bhi user friendly banana chahiye. Ugly Url se website or blog ko koi fayda nahi hota hai. Aur Bhi jankari ke hamari ye post parhe permalink kya hota hai ise seo ke liye kaise prayog karte hai.


3. Keyword ka istemal 

Good Job ! Aap post ko likhne ke liye khoob keyword ka use apne post me use karte honge. Kya hoga jab use keyword ko search results me na aaye. Aisa aksar us time hota hai jab khoob dher sare keywords ko post sab jagah faila dete hai. Usse Koi fayda hone wala nahi hai kyoki aksar karke search engine post ke pahle paragraph ke 100 word ko jyada achchi tarah se crawl karta hai. Isiliye hume jaha tak ho sake pahle paragraph ke andar hi keywords ko prayog kar lene chahiye. Aap chahe to post ke last me bhi kuch keywords use kar sakte hai. Keywords ke bare me jyada jankari ke liye ye post parhe.


4. Post Title me keyword ka prayog kare

''on page seo techniues'' me post title ke iside keyword ka prayog karna sabse behatar hota hai. Jaha tak ho sake title ko hamaesha h1 me likhana chahiye jo jyada lamba na ho. Aap h2 ka prayog h1 ke sthan par kar sakte hai. Aur ek baat post me heading ka prayog jaroor kare. Kyoki isse post ko kisi ke visiter ke dwara samjhne me aasani hogi. Aur wo kya kya chahta hai asani se samajh lega. Post title ko eye catching jaroor banaye. Heading ki jankari yaha se le sakte hai. heading ka prayog kaise kare apne post me



5. Ajoobe Multimedia Ka istemal 

Aap Jab On page seo tutorial parh rahe hai to aapko post ko create karte samay wo image aur other multimedia ka use nahi karna chahiye jo post ke anusar na ho. Aap jab Aise multimedia ka use karte hai to visiter impression kam ho jata hai. Isiliye jab bhi kisi image ko use karo to post ke according ho Aur image ko compress jaroor karna chahiye. Badi size ke images multimedia ka prayog kabhi na kare. Aap jab bhi image prayog kare post to alt text jaroor dale. Isse aapki image search engine me index hokar show hone lagegi.


6. Interlinking aur post me kare

Interlinking ka matlab apne post me apne blog ke post ke link ko hyperlinking karna hai. Ye On page seo ke liye jaroori hissa hai. Isiliye Interlinking milte julte julte words par jaroor kare. Kisi word ke piche word ko link kar dene se post reading number barh jate hai. Jisse visiter ko us word ya title se related post ki jankari mil jati.

7. Internal Linking

Ye Internal linking wala part on page seo defnition ke liye bahit hi mahatvpurna hai. Kuch log ye sochte hai ki post ko create kar liya aur publish kar liya to hamari website ki seo rank barh jayegi. Aisa nahi hota Aapko Apne blog ke post or Blog ke homepage ka internal linking karna hoga. Internal Linking ka kisi dusre blog par commet karke ya phir Guest post karke apne website ke Url ko chodna hota hai. Yaad Rakhe Jis Website or blog ka jitna jyada Comment backlink me Nofollow or Doffollow Internal Link hoga wo utna achcha rank karega.


8. Meta Description Or Meta Tag

Ye Description wali baat bhi thik title wali hi hai. Isme Jo keywords title me use kiye jate hai thik usi prakar apne post ke meta descriptions me keywords ka use kare. Jyada keywords ka istemal naa kare Ye kisi bhi search engine ke liye important factor hai. Aap meta tag ko Apne blog theme Or Wordpress Theme me achchi tarah se kar sakte hai. 



Final Words : On Page Seo Se Related

To aapne Is post me jana On page seo Ko Hindi me. Yaha par achche on page seo checklist me keyword density bhi important factor hota hai. aap jaha tak ho sake apne post andar 2-5% hi keywords ka use kare. hamesha seo friendly post likhe. Jyada se jyada words me post likhe. Jiska jitna jyada words wale post honge utna achcha se aapko yani post ko rank milega.

To kaisi lagi ye post hume bataye aur hame subscribe karna na bhoole.