Up Scholarship Online Form kaise Bhare Puri Jankari

Up Scholarship Online Form kaise Bhare Puri Jankari

Also Read

Up Scholarship Form 2021 Kaise Bhare - Up Board ki parikshaye kab ka khatm ho chuki hai. Log ab apne new class me dakhila lene ke liye school aur colleges me admition karwa rahe hai. Sath hi ab logo ko sarkar ki taraff se milne wali scholarship ka form bhi bhara jara hai. Jisse ki garib students ke parhayi me help ho sake aur we apni parhayi nirbadh roop se jari rakh sake. Aaj ke is post me aapko scholarship ka form kaise bharna hai apko batayenge.

Aapko Hum Up Scholarship Ke Form Ke Bharne Ki Jankari Puri De rahe hai. Waise scholarship portal website par har sal 10 lakh se jyada application submit kiye jate hai. Jo ab ke samay me aur bhi barhati ja rahi hai.


Up Scholariship Website Ka Homepage


Eligibility

Aap Uttar pradesh ke kisi bhi manyata prapt college ke student ho aur aawashyak maandand pura karte ho.Or Aap Kisi Dusre State Se Aakar Uttar Pradesh me Rahne lage Ho. 

Important Dates For Scholarship : 


Prematric [ Class 9 to 10th ]
आवेदन शुरू होने की तिथि - 4 june 2019
अंतिम तिथि - 10 September 2019

Postmatric Inter [ Class 11 to 12th ]
आवेदन शुरू होने की तिथि - 4 june 2019
अंतिम तिथि - 10 October 2019

Postmatric Other Than Inter [ Bachelor Or Post Graduate ]
आवेदन शुरू होने की तिथि - 4 june 2019
अंतिम तिथि - 10 October 2019


नोट - फॉर्म भरने की अंतिम तिथि में परिवर्तन हो सकता है 

Online Scholarship ka form kaise bhare?

Yaha par aapko form bharne ke liye 3 step follow karne padte hai.
1. Registration Karna
2. Registration karne ke baad log in karke apni puri Bio data ko submit karna.
3. Full Form Submit karne ke Final print Nikalana.


1.Registration Kaise kare
Iske bare me mai aapko step by step batate hai. Jinhe aap carefully fill kare.

Step 1. Sabse Pahle Up scholarship ki adhikarik website http://scholarship.up.gov.in/ par jaye.

Step 2. Ab Apko Menu Par se   Student   par Click karna hai phir
Aapko   New Registration   Par click karna hai.

Step 3. Ab apko Apne Cast ke aadhar par par form ko Fill karne ki link di gayi hai jinhe aap yaha se select kar le.

Step 4. Form ko bharne ke liye ek form aayega jise aapko high-school marksheet ke adhar par bharna ha. Isiliye Form ko dhyan se bhare. Last me apna possword dalkar save kar le.

यहाँ पे आपको सभी सर्वर की सूचि दे रहा हूँ जो भी आपके समय पर काम करे उनमे से आप अपना फॉर्म को रजिस्टर कर लीजिये 



2. Form Ko Complete Kaise Kare

Step 1. Ab Aap apne id aur possword se login karne ke niche diye gaye link par click kare.

Link List

Apply Online (Registration)

Server I | Server II | Server III

Login to Complete Form

Click Here

Download Date Extended Notice

Click Here

Download Notification

Click Here

Official Website

Click Here


Step 2. Ab ek window khulegi jisme aapko bharna hai-




  • Yadi aap new hai naveein par click kare renewal ke dusre par tick kare.
  • Aap kis class me study kar rahe hai wo select kare.
  • Apni registration number dale. Aapko registration ke samay aapko mila hua hai.
  • Apni Date Of Birth Enter Kare.
  • Apna Possword Enter kare jo aapne Registration ke waqt dala tha.
  • Captcha Code Enter kare. Jis Character me ho usi character me likhe.
  • Submit par Click kar de.


Step 3. Ek Window Open hogi jise mai aapko bata raha hu. Diye gaye Form ko dhyan se bharkar submit kar de. Aapko jo jankariya bharni hogi usko mai point kar raha hoon.
.


  • Registration Print Nikaliye.
  • Apna Awedan Kariye.


Step 4. Ab aap 3 days wait kare aur final print nikal le. Print ko nikalane ke baad apne school, college me submit kar de.

Ab aap Uttar pradesh ka scholarship ka form bhar chuke hai. Aapka fund aapke account me february ke baad se sabhi jagah (department) se verify karke aapke khate me bhej denge.

Online 2016-17 ki scholarship status check kaise kare?
Step 1. Sabse pahle aap aap aap yaha par click kare.

.Up Scholarship Status

Step 2. Status par click karne ke baad aap apna registration number aur date of birth dalkar search     kare

3. Ab aap apna apna scholarship status check kar payenge.


To yadi aap Uttar Pradesh me study kar rahe hai to abhi scholarship ke liye apply kijiye aur apne parhayi ko jari rakhiye.