Microsoft Word kya hai? Microsoft word ke Bare me (Introduction) Aaj is Post me jankari di gayi hai. Microsoft ko Shortcut me Ms-Word bhi bola jata hai. Ms-Word ek Complete Word Processing Programme hai.
Microsoft Word - Microsoft Word ko Microsoft Company ke dwara devolope kiya gaya. Microsoft word ko 1983 me banaya gaya. tab ms-word ki roop-rekha alag thi. Ise Multi tool word ke naam se jana jata tha. Lekin samay barhane ke sath - sath is application ko devolope kiya gaya. Aur Aaj Ms-word alag-alag operating system par kaam kar rahai hai. Microsoft Word Ms Office ka ek bhaag hai. Ms Word ko Complete word Processing Software bhi kaha jata hai. Kyoki Is Software ke jariye kisi bhi tarah ke Notes, Letter, Aur Word ko chahe kaise bhi ho edit kar sakte hai.
Microsoft Word Features - Ms-Word ke features bahut barhiya hai.iske features User responsive hai. Features Ms - Word ke karya karne ki gunwatta ko barhate hai. Jo features hai unke naam niche diye ja rahe hai.
- Page Formatting
- Text Editing
- Spelling and Grammar Check
- Use of Thesurus
- Page Numbering or Pagination
- Column feature
- Mail Merge
- Create a Table
- Auto Text Or automated text
- Auto Correction option
- Header & Footer
- Find & Replace Option
- Styles & Formatting (Best Option)
- Insert Bullets ( Many Types )
Uprokt features bahut hi achi tarah se customize kiye gaye hai. In sab features ko proyog karne se aap ms-word par behatarin kaam kar sakte hai.
Microsoft Word kaise Open kare?
Sabse pahle aap ye sunischit kare ki aapke computer me ms--office install hai ya nahi. Iske Baad Aap Simple Apne Windows ke start par click karke ms-office >> Ms-word ko select kar sakte hai. Ms - office open hone ke baad aap usme koi bhi aur kisi bhi prakar ke word ko customize or modify kar sakte hai. Isse aap Report, Letter, ya Apne liye book bhi taiyar kar sakte hai. Jise taiyar karke print kiya ja sakta hai.
To ye thi Microsoft ki jankari yani introduction jisme aapne jana ki Microsoft word kya hai aur iske bahut se important features jo hamare text editing ko aur bhi asan banate hai. Aage jaroor parhe ke Microsoft ko kaise sikhe jald se jald . So next post coming.
Latest Article>>