Blog Ke Liye Comment Box ka Hona Kyo Jaroori Hota hai

Blog Ke Liye Comment Box ka Hona Kyo Jaroori Hota hai

Blog par Comment karna ye Baat Kisi visiter par depend karta hai. Visiter Kisi blog par comment tabhi karta hai jab Post ki Quality Uske Manpasand layak ho, Ye bhi bahut matter karta hai ki Visiter ko aapke blog ki har baat samajh me aaye.

Maan Lijiye ki Aapne koi Trick ke baare me koi post likhi to Aise me aapne kisi baat ko sahi se prakat nahi kiya to Aise me Wo visiter us trick ko samajh nahi payega naa hi wo us trick ka labh le payega. Bhai baat to Saaf jahir hai Aapne us trick ko sahi se step by step nahi bataya.



To hum Baat karne Wale Comment Box ke Bare me Ki Comment box ka Kyo hona jaroori hai/ Aur ye kisi blog ke liye kya fayda de sakta hai?

Blog Ko Banana Asan Hai , Aap blog easily bana sakte hai lekin usko chalana sabse bada kathin hota hai. Kyoki Blog ka Matlab hai Aap Roj , Regulary Kuch Na kuch Likhte raho, Yahi Blogging hai. Aise Jab aapne koi blog banaya to Us ko Jyada se jyada log parhe , Ye bhi chahenge , Jab Aapka Content  achcha hota hai to aap ko bahut saare parhne wale mil jaate hai .

Aise Me yadi Aapke Kisi baat pe Koi Pratikriya Deni ho to Aapko Comment Ke madhyam se Apni Baat Kah Sakta hai. To is tarah se aapko Direct comment mil jayenge. Lekin Kuch Aur bhi Factor hote hai jinhe aap janana chahenge .

SEO ke Liye

Kisi Blog Ke liye User Ka Comment Bahut Jaroori hota hai. Aapke Kisi Post par Jitne Jyada Comment honge wo Utni Achchi Rank Karega. Kyoki Isse Search Engine ye samajhta hai ki Aapki Post Visiter Ko jayada pasand hai. Aise Aap ke Content ko first priority dega.

Conversation Rate

Kisi Par Blog par Jyada Comment hone se us blog ki Conversation Rate barhti hai isse user jyada aapas me discuss kar sakte hai yadi koi baat Author bhi nahi bata paata hai to koi perfect visiter us ka answer de sakta hai jisse ki author dwara reply naa milne par bhi wo visiter santusht ho jata hai.

Blog Me Comment Box

First Ye bahut jaroori hai ki Aapne blog banaya to uspe aapne behatreen content dala aise aap ko comment box ko simple aur asani se navigate karne wala hona chahiye jisse koi aaye turant asani se comment kar jaye , jyada step add nahi karne chahiye. Log Aisa karte hai ki user se dher sare personal information fill karne ka form add kar dete hai aise me bhi aapko comment nahi milte hai. Aapko chahiye ki , Blog ke Comment Box me , Sirf Visiter ka Naam Aur Comment Load ho to sabse jyadda achcha rahta hai. Kyoki isse user ke personal Details Safe rahte hai.

Good Looking Blog

Comment Box hone Blog Accha Dikhta hai. Isse Jariye Aap kisi visiter ko Dobara Blog par la sakte hai, Main karan Ki yadi Kisi visiter ne koi sawaal puchha to uska jawab author ke dwara dene par , Phir se visiter apne sawal ka jawab dekhne ke liye dobara se aapke blog par aayega. Jisse Aapke Blog ki traffic barh Jayegi.


Blogger Me Comment Box Add Kaise Kare

1. Aap Blogger me sign kare
2. Setting Me jaye Post , Comment And sharing Wale option ko Select kare.
3. Comment Location Ke antargat Aap Comment Ko Visible kar sakte hai.

Blogger Comment Ke Bare Aur jyada Janne ke  liye Aap Hamari ye post parhe - Blogger par google comment system ko manage kaise kare 

Conclusion 

Jaha tak Comment Box ka Sawal Paida Hota hai , Box ko Ekdam Saaf Suthra wala Use karna chahiye , kuch popular comment box jaise Discuss Comment Box aur Wordpress Default Comment Box Sabse best hai. Inme ye bhi dhyam rakhna chahiye ki jyada form visiter ko naa bharne ke liye kaha jaye .