Domain Name Kya Hai Aur Domain Name Kaise Use Karoge

Domain Name Kya Hai Aur Domain Name Kaise Use Karoge


Aap Internet par koi website visit kiye honge. Us website par aap kaise Pahuche Nischay hi aap google ke dwara search kiye honge ar site tak pahuche honge. Or Aapne Website Ka Domain Name Type karke Site par side aa gaye honge. Aap Jis Domain Ke sahare Site tak pahuche Darsasan Wo Kisi site ka Ek unique address hota hai. To Aaiye hum aap Domain Name Ki puri jankari aur Domain Name Kaise use karenge Ki Jankari Aap Ko Dete Hai.



Domain Name Kya Hai?

Domain Name website ka unique Identifier address hota hai. Jiske Dwara Hum Internet par Koi special Blog aur Website search kar pate hai. Site Name Ip Address se jude hote hai. Jo Internet par Apko Vibhinn server dwara Aap ke Ip address ke dwara Transmision karke website url tak paucha dete hai.

Domain Name top level domain Se jude rahte hai. Jo Kisi Website ki Category hone Ka Parichay deta hai. Kuch Top doman Name levels hai Jo hai.
.com
.edu
.net
.in
.gov
.org

Aur Bhi Hajaro tarah Ke Domain Name Extension Internet par mil jayenge. Aapko bata de ki aap .com domain name use business ke liye use kar sakte hai.

Domain Name Registration Kaise Kare?

Aap ko Koi website chalane ke liye uska ek nischit naam hona chahiye. Jo Domain Name Kaha Jata hai. Domain Name Aapko Kuch keemat dekar kharidna pad sakta hai ya aapko free me bhi mil sakta hai. Aap Jab apne website ke liye domain name kharidne jate ho to us website ko domain registrar kaha jata hai.  Aap ya ha se koi bhi top level domain kharid sakte ho. Aap jo bhi domain name kharidoge wo aap example.com ya phir aur bhi extensions se jude hue milenge.
Yaha Par Top domain Registrar hai - Godaddy aur Bigrock. Jaha se aap paid domain buy kar sakte hai.

Domain Name Use Kaise Karte hai?

Aap Jab apne Website ke liye koi domain name kharid lete hai to aapko kaha par prayog karna chahiye pata hona chahiye. Aapko Sabse pahle to aap kaha par website banayenge aur phir usko kaise payog karenge pata hona chahiye.

Darasal Aap apni Website BLogger par bhi bana sakte hai jo ki free hai aur wordpress par bhi jo ki paid hai. halanki blog aur website par aap Domain name use kar sakte hai. Yaha Par blogger jo hai wo blog publishing service hai aur jo wordpress hai wo content management service hai.

Aapko Is par apna Domain Name Add karna Hota hai. Jab Aap domain Name Apne Website ya phir blog par add kar lete hai to aap ko us url se apne kisi bhi bhi blog aur website se usi address se visit kar sakte hai.


Advance Tip : Jab aap ko pata ho gaya hai ki aap ka domain name kisi na kisi ip address se juda hota hai to aapko apne site address ki ip address find karne ke liye aap koi ip address checker tool ka prayog kar sakte hai. Jab aap ko apne website ka Ip address pata ho jaye to usi ip address ko sidhe - sidhe browser me copy paste karke us website ko khol sakte ho.

To friends humne aapko bataya domain name ke bare me aasha hai aapko jankari pasand aayo hogi . Yadi koi pareshani aati hai to hum comment box me puch sakte hai.