Google Assistant Kya Hai Aur kaise kaam karta hai

Google Assistant Kya Hai Aur kaise kaam karta hai

Google ke bare me sabhi log jante honge . Google puri Duniya me apni dhaak jama chuka hai Khaaskar Internet related query ke maamle me aur internet ke kshetra me. Google Ka Ek app hai - Google Assistant  Jiske Bare Me aapko Is post me Batane wale hai.



Google Assistant, Google ka ek product hai jo virtual assitant ke roop me kaam karta hai. Ise Google Ne Devolop kiya hai. Jab Aap Isko Use Karte hai to aap Iski kisi bhi tarah se help ki maang kar sakte hai . Jise Hum Ok Google , Aur Google Now Ke Naam Se bhi Jante hai.

What Is Google Assistant ?

Aap Ne Apne smartphone me google ke jariye bolkar kuch mangaya hoga Jaise Ki song, Movie ya kisi bhi cheez ki jankari . Ye Sab kaam Aapka Google Assistant karta hai. Ab Aap Samjh gaye honge ki Google Assistant Kya hota hai. Google Ke assistant ke features bahut hai aapko Next Paragraph me batate hai.

Google Now Ke Features

1. Aapko News Ki jankari Dega.
2. Aapke Phone me Install kiye app ko Open karne me madad karega aur ek cammand wo app open kar dega.
3. Weather Ki report dega Sirf Ek baar puchne par.
4. Sport ki janakari dega. Yadi Aap Cricket ke shaukin hai to aap free me cricket alert bhi availble karwa dega jisme aap cricket new, cricket score aur bhi bahut kuch paa jayenge.
5. Aapko Reciepi se judi jankariya de dega.
6. Mathematics ke sawalo ko hal kar dega. Jaise Ki add karna , Ghatana etc.
7. Google map par koi location Search karni sab turant bata dega.
8. Aapke Phone Me Music Play Kar dega.

Google Assistant Download Kaise Kare?

Ab Jab aap Google Now Ke itne sare features jaan gaye hai to aapko ye app downlod karne ka man to hoga hi. Agar aap Android Smartphone ko chala rahe hai to aap ke phone me ye pahle se maujood hai. Yadi Nahi hai Aap Simply play store se Sidhe download kar sakte hai.

Download karne ke baad iski behtreen facilty  ledne ke liye aap baar - baar update karte rahe. Jisse Sabhi Features aapko mil jaye.


Yadi Jankari Achchi Lagi To hume Like + Share Kare..