Gmail Kya hai Aur Gmail ko kaise use kare

Gmail Kya hai Aur Gmail ko kaise use kare

Aapne Kabhi try kiya hai ye jo aap e-mail kisi ko bheje ho to kaise bhejte ho. Aur isko hum kaise free me access kar lete hai. Aap hamesha se g-mail ke dwara aur rediffmail ke dwara hi aap Email ko use karte hai. To isi me Gmail bhi e-mail services ke prayog me aata hai. Aap ne socha ki gmail kya hai? Apko batate hai.



Gmail Kya Hai?

Google ka behtreen product Google mail hai. Jiska matlab hai aap is service ke dwara E-mail access kar sakte hai. Achchi baat yah hai aap ise free me access kar sakte hai. Google ne internet users ko free me diya hai. Aap Gmail ko Personal aur professional dono roop me use kar sakte hai. 

Google Mail ( G - Mail ) Ke Features Aur fayde

1. Aap hamesha se free me E - mail account ke jaise access kar sakte hai. 

2. Yaha Par aapko badi space mil jayegi. Adhikatar E -mail ki service dene wali website aur company kam space deti hai. Jisse Professional user ko baad me space ke liye paise dene padte hai. 

3. Aapko Apke Data Ki Puri tarah se security mil jayegi. Google iski puri nigrani rakhta hai ki kahi se koi data hack na ho jaye. 

4. Sabhi E - mail Aur Messages ko aap Instantly recieve aur send kar sakte hai. Aur sath hi aap isse vedio confrecing bhi kar sakte hai. 

5. Aap Outlook ke message ko Google Ke account me Sync kar sakte hai Matlab ki aap oulook ke e -mail ko gmail me trasfer kar sakte hai. 

6. Sabse badi baat ki aap ise internet ke jariye kahi bhi aur kabhi bhi use kar sakte hai. Aapko Koi problem nahi hoti hai.

Google Mail Ki Pahchan Kya Hai?

Aapko Google Mail ko Prayog karne ke liye Ek Gmail Account Ko Banana Padta hai. Aapko gmail ke dwara ek username diya hai. Jo Aapke User name aur Sath hi uske Domain @gmail.com se juda hota hai. @gmail.com Ka Matlab hai E - mail Account Google par aur Gmail Ki Service use ki ja rahi hai. 


Google Mail Aur Gmail Me Antar 

Google Mail ko Aap Thik gmail ki tarah se prayog kar sakte hai. For Example maan lijiye ki yadi aap xyz@googlemail.com par koi mail karte hai to wo bhi thik xyz@gmail.com wale inbox me hi messages aayenge. bas Ise Domain Name ko Short kar diya hai. Baki Sabhi Message same inbox me hi rahenge. 

Gmail Ko kaise Use Kare

To uper ho gayi baat Gmail Ki details ke baare me aapko batate hai ki gmail ko kaise prayog karoge. Aapko gmail prayog karne ke liye ek google account banana padta hai. Jo Aap Google Account Sign Up search karke link find kar sakte hai. Waha se aap Sign kar sakte hai.