Domain Authority Kya hai Aur Ise Kaise Barhate hai

Domain Authority Kya hai Aur Ise Kaise Barhate hai

Domain Authority kya aur Domain Authority Barhane Ki tips Domain Authorty Yani DA Ek Number Hai Jo Website ki Authority ko Batata hai. Aapke Blog Aur Website Ka Jitna Adhik Domain Authority Adhik hoga utna Hi Aap Search Engine Se Achchi Quality Ki traffic ( Organic Traffic ) pa sakoge.

Domain Authority Metric Ko MOZ naam Ki company Ne Devolop kiya tha Lekin Iske Alawa Bhi bahut si companiya hai jo Moz ke Aadhaar par Domain Authority Ki Metrics Instemaal Karti Hai. Yani Ki aap Unse Bhi DA ka pata laga sakte hai. Jo 0 se 100 ke bich me Aapke Domain Ka Rank Diya Jata Hai.

Domain Authority Me Page rank Ka Sidha Matlab hai Jis Ki Idea Larry Page Ne Pahle Hi diya tha. Aur Aaj yahi Website Aur blog Ke Liye ek bahut jaroori measure ho gaya hai. Iske chalte hi iski Search engine me jaroorat ho gayi hai.

Website Ki Domain Authority Kya Hoti hai?

Kisi Bhi Website Ki Domain Authority ka Score 0 se 100 tak hota hai. Aur Isse jyada ho to aur bhi achcha hoga. Jo hame ye batane ka prayaas karta hai ki website kitna achcha kisi bhi search engine me rank karegi .

Ye Aap iski Tulana Same Pagerank Se kar sakte hai jo ranking ko aasani se effect karti hai.

Moz aur Other Comapaniya Jo jo Google Ranking Ko Calculate karte hue usko Google Algorithm se simulate karti hai aur uski Yani kisi bhi website Domain ka Page rank pata karke  ek score jari karti hai jo  sirf domain  ki comparison  se matlab rakhta hai.

Dusre Shobdo me Kaha jaye to, Domain Authority  aapke Website Ki Accurate Data nahi hoti hai jise google Rank karta hai. Bas Isko Detect Karke pata lagata hai Ki Website kisi Bhi SERPs me kaisa perform kar rahi hai.

Other Chize Jo Ki DA ke Bare Me Hai :


1. Domain Authority Ka Loss Hona Iska Matlab nahi hai ki aap ki website ka page rank ghat jayega. Yani Google Penality Iske Aadhaar par nahi hota hai. Yadi Aapka DA high hai to bhi aapko penalty lag sakti hai.

2. Google Ranking Me Hundres Algorythm Use Kiya jate hai jise google ke alawa koi bhi nahi janta hai aur Inko Pata Lagana Bhi Mushkil Hai. Kuch Log hai jo isko detect karne ki koshish karte hai ab inko hum apne segment se 200 se jyada pata laga sakte hai. Jabki Domain Authority , Google Algorythm ka lagbhag 45 Factor hi use karta hai.

3. Agar Aapko Apne Website Ka DA kam Karna Ho to Aap nahi kar payenge kyoki ye teji se increase hota hai aur isko turant Kam Kam karna Mushkil hai.

4. Aapko Janni Chahiye Ki Domain Authority Scale Logarythm Scale par Aadharit hai. Aapko Iska Matlab mai batata hoo. Ki aap 10 se 30 tak to aasani se pahuch jayenge lekin 30 se 75 tak pahuchna bahut mushkil hota hai. Jitna Aap Aage barhoge kathinaiya Utni Aayegi.

5. DA aappke website ka Achanak badal Sakta hai. Iska SEO performance se sidha relation hai. Jab SEO loss hoga to DA bhi Gaya. Phir ye Metrics Sirf Domain Ki tulna Karne Ke liye hota hai.

Domain Authority Ki Calculation Kaise Hoti hai?

Moz ki Website Ke anusar Lagbhag 30 -35 taragh ke Perfomance ko record karti hai jisme se aapke hai.


  • Aapke Website par kitni Incoming Links hai Jo Aapke Website Ko Point kar rahi hai. Matlab aapke Website par kitne link se Traffic Aa rahi hai.
  • Website par kitne relavancy aur good quality ke links hai.
  • aapke website par kitna content hai.
  • social media me aapke blog aur website ka kitna prachar hai. aur Domain ko kitna jante hai.
  • Aapke Website ka SEO Performance kaisa hai. 

Kaise Pata karoge ki Website ka DA Score Kitna hai?


Aapko Janna hai ki Apne Website Ka DA to aap Moz Ki Website Par Ja sakte aur Apna Domain Name Dalkar Sidha Result dekh sakte hai.

Ab Aap ko Batata hoo ki PA yani Page Authority ke bare me Iske Pahle Humne bataya DA ke Bare Me.



Page Authority Kya Hai?

Page Authority Bhi DA ki tarah hi hota hai jo Ki Domain Ke reference me Kisi Page Par hota hai. Aur PA website ke Kisi vishesh Page par Nirsharit hota hai.

PA ka score hame ye bata deta hai ki kisi page ki power search engine me kis tarah se hai aur Wo Search engine me kitna Accha perform kar rahi hai.

Kisi Bhi Website pa Jitna jyada Pages honge wo bhi achchi quality ke to aapki page authority utni jyada barhegi.


Kisi Bhi Website Ka Domain Authory Kaise Improve Kare

yaha Par Humne bataya ki Domain Authority ke bare me aur iski calculation ke baare me ab DA ko Improve kaise kiya jaye. Aapko Batate hai.

Step 1: Off Page Seo Par Dhyan Dijiye

Aapki Website Ki link profile Sabhi Metrics Ki Jad hai aur ye bahut jaroori bhi hai. Kyoki Website ki Majbooti iski Linkin Ki Clear Profile Par Depend Karti hai. DA score tab tak sahi nahi hoga jab tak achchi linking naa ho.

Strong Link Profile Kya Hoti Hai?

  • Aapki Website Par Authority Backilinks Aani chahiye . Badi - badi Website se.
  • Aane Wale Backlinks Aapke Website Se sambandhit ho.
  • Low Quality Link Jaise Broken Links Etc Nahi Hone Chahiye.
  • Unique Domain Se Jaise Supportmeindia.com , Hindimehelp.com , Mubigguide.com Isi tarah se Domain Se Linking Honi chahiye.
Link Profile Ko Kaise Improve Kare?

Jab aap Link Profile Ko improve karne ja rahe ho to aapko off page seo ke bare me janana chahiye ki kyoki dwara aap achche link bana sakte ho aur ranking  ko thik kar sakte ho.

Profile Ko Adhik Majboot Banane ke Liye Aapko Page Authority Par Bhi dhyan dena chahiye. Isko Aap in tariko se Good kar sakte hai. 
  • First Aap Sare ke Bekar Link Ko hata dijiye. Kyoki Ye hi ranking ko effect karti hai. Aap Inko Detect karne ke liye bahut se tool ka use kar sakte hai. Semrush , Broken Link check aur Moz Explorer Isi Tarah Ke tool hai.
  • Yadi Aapke paas NOfollow Link jyada hai to aap Isko Dofollow Me Convert Karne Ke liye Aap isko Website Ke Owner Se request kar sakte hai. Isse Bachne Ke liye Aap sidhe se Robot.txt ka Use Kare. Ye best rahega. 
  • Aap Hamesha Natural Tarike Se Link Build Kijiye Nahi To Kisi Tool ka istemal kiya to Loss hoga hi. Aap Jab Bhi Kisi Website Ko Visit kare to usme Comment ke dwara Apna Link Chhod sakte hai.  
Step 2: On Page SEO Kijiye

Dekhiye Aapke Website Ka DA Score Karne Ke liye Aapke On page Seo par bhi dhyan dena hai.  On Page Seo ka Matlab Aapke Page par focus karna hai. Jitna bhi seo karna hai page par hi karna hai. Iske liye Aap yaha Par kuch factor bata rahe hai.
  • Apne Title aur Descriptions ko Optimize kar ke rakhiye.
  • Heading Ka use (H1 aur H2) ka proper use kijiye.
  • aapka website ke page ka url structure aur permalink seo ke anusar hona chahiye.
  • On page seo me images aur vedio aur other media ka use kijiye.
  • keyword ka jyada prayog mat kijiye. Pura page Keyword se nahi bhara hona chahiye. Aap long Tail keyword use kijiye. Ye kam Competitive hote hai. 
  • Aap read More , Aur Related Article Jaise Featere Add Kijiye. 
  • Jab Aap Ko lagta ho ki jo snippets google me acha rank nahi kar raha hai to use delete karke uske jagah par seo friendly snippet likh dijiye. 

Step 3: Technical Seo Kijiye

Technical Seo me Aap ko Starting Ke sabhi process jaise Sitemap Generate karna aur Sitemap Submit karna Aadi Sabhi technical seo ke antargat kar sakte hai. Iske dwara hi aap Seo Ka puri tarah se laabh le sakte hai.  Iske Bina Aap Seo ka Maja Nahi Le payenge. Ek Wrong Process Site ko Crawl karne se rok dega Search Engine me. Aap iske Liye Ye baate follow kar sakte hai.
  • Google Search Console me aur bing Webmaster me Register Kar lijiye.
  • Google XML sitemap Generate kijiye aur Google Webmaster me Submit kar dijiye.
  • Ye Aap check kar kar le ki aapki site google ke dwara achche se fetch ki ja rahi hai aur sabhi page crawl kiye ja rahe hai. 
  • Aapko Website https par Open ho rahi hai ki Nahi. 
  • Structered DATA Jo ki Site Ki jaan Hote hai Aapko Sabhi DAta sahi tarike se order kiye jane chahiye. 
  • Breadcrumb menu aapke Website ke liye Madad gar Hai. Aur Isko Search engine Me dikhane ke liye isko Aap hamari ye post parhe ki Breadcrumb Kya Hai?
Step 4: Website Ko Mobile Friendly Banaye

Mobile Frindly ka Matlab Aap ki Website Kisi bhi Device me Achchi tarah open hoti ho aur sare content fit ho . Jisse User Ko pareshani na ho. Aisa Isiliye Hota hai Kyoki:
  • Smartphone Ke Popular hone se usme Internet ki Facilitie ki hone Se Desktop ki tulna Me Jyada Search Kiye jate hai. 
  • Google Result, Mobile ranking Ka ek Hissa hai.
  • Ab Google Mobile Me ke data ke aadhaar par hi page ko index kar raha hai to ye sabse jaroori hai. Pahle Mobile me index karega phir Desktop me .
  • Yadi Aapka Blog Mobile Friendly nahi hai to DA par Negative effect padega. 
yadi Aapne Abhi Tak apne Website Ko Mobile Friendly nahi Banaya Hai to AAp Yaha Mobile Friendly test kar lijiye. 

Google Aapke Website Ki Puri Report De dega. ki Aapka Website Mobile Friendly hai. 



Step 5: Improve Your Page Speed

Aapko Page Speed Par Bhi Kaam karna chahiye Kyoki Isse Aapki Website  ki rankin barh jayegi. Website Ko Aam taur par 3 second ke andar open ho jane chahiye. Iske Aapke Visiter Ko ek Achcha Anubhav milega. Wo jaldi se kam samay me aapke Website Ko access kar lenge. 

Speed Ko Kam karna Aapke Liye Kathin Ho sakta hai . Isme Aap Devoloping Ki jankari honi chahiye. Jisse Ki Website Ko sahi Se Coding Ki ja sake. Lekin yaha Par Aapko Kuch Suggestion De raha Hoo.
  • Aap Bina Jaroorat Ke Plugins Aur Blogger Javascript Ka Use Na Karo.
  • W3 cache Ka Use karo.
  • Image Ki size Compess Karke Use Kijiye. 
  • Streamin Ke liye Aap Youtube Ka use kar lijiye.
  • CDN ( Content Delivery Network ) ka Use Kijiye.
Step 6: Social Network Barha Lijiye

Aapko Social Network Par Popularity barhane ke lijiye aapko Apne Website Ka prachar karna chahiye sabhi pages ko facebook aur twitter par share kar dena chahiye. Halaki Iska Google Algorithm koi lena - dena nahi hai . Phir Bhi Apne Website tak Logo ko pahuchane ke liye Promotion jaroor karna chahiye. yaha Par Kuch Point hai.
  • Like , tweet ka button instal kar lijiye.
  • social media par page ko bana lijiye. Jaise Facebook page Aur Twitter Par In Sab Ki jankari yaha par Aap jaroor parhe.
  • Content Acha Hona Chahiye Jisse Ki Social Media Se log Aapki Website Par attract ho.
Step 7: Patient Rakhe 

Aap Jab DA aur PA pa kaam kar rahe ho to aapko dhairya to rakhna hoga hi . Ye sab jaldi - jaldi nahi ho. Dheere - dheere kathin mehnat ke dwara hi aap high rankin paa sakte hai. Aapko Haesha Se Google Ranking Par Hi Dhyan Dena Chahiye. 

Conclusion

Overall, DA ko PA ko increase karna Ek lambi prakriya hai . Aap satat kaam karne rahna chahiye. Jitne Bhi Uprokt Process Bataye gaye . Yadi Un Par Aapne Man Laga ke Kaam Kiya To aap Ke Website Ka DA Par improve Ho jayegi. 

Ek Low DA score Wali Website Google Me perform Nahi Kar payegi. Aap Ko High DA aur PA score Par Main Focus Kiye Jane Chahiye.

Hamesha Kuch Bada Sochiye. Jisne Bhi Website Ko banaya Aur Jiski Ichcha hai Ki Wo Google Aur Search Engine Me Ek Strong Ranking Ko Achive Kare.