Html Improvement kya hai ise kaise fix kare?

Html Improvement kya hai ise kaise fix kare?

Html improvement ke bare me aaj is post me aapko batayenge. Jisse ki aap apne blog ko achche se rank kara sake. To aaiye aapko ek-ek karke batate hai. Sabse pahle aapko batayenge ki html improvement ke bare me-


html improvement kise kahte hai?

Jab aap blogger par ya phir kisi other site par koi website banate hai. To website ko banane ke baad jab aap html language me page ka nirman karte hai. Isme aap pure dhyan se dekhte hai ki kahi se kisi bhi prakar se tag, or  code me gadbadi na ho. To aap bina kisi error ke html me webpages ke creation ko html webpages kahte hai. Aur jab html page ko improve kiya jata hai to use html improvement kahate hai. 

To ye baat hui html webpages improvement ki ab iski google search console me kya hota hai aaiye aapko batate hai. "Google webmaster ka ek aisa option jiske dwara site ki kami jaise 'duplicate meta descriptions', Title tag aur non-indexable content etc. ko fix kiya jata hai.'' 





html improvement kyo jaroori hai?

html webpages me kisi bhi prakar se kami hone se hamare website ko bahut tarah se nukasaan hi hote hai. Sabse bada nuksaan to site ke ranking ko lekar hoti hai kyoki jab kisi site me sahi tarah yani kam word me or jyada word me meta description ko add kiya jata hai to search engine humari website ko achhi rank nahi deta hai.

Aur dusri baat jab aapke theme me koi error ho. jaise- duplicate meta desriptions aur content ka sahi tarah se index na hona aadi problem ho jati hai. Ab aapko batate hai ki site ke error se kaise bache..



How to fix html improvement error?

Html ki error se azadi pane ke liye sabse pahle theme ko jaroor check kare. Yadi Aap check nahi karenge to janiye aapke blog ke theme me error pakka aayega. Jab koi Theme me gadbadi hoga to Iska Asar Search Engine Par Asar Jaroor Padega. Yaha Par Kuch Suggestion de Raha Hu.
1. Aap Nulled Theme Ka Use Mat Kijiye.
2. Koi bhi Theme Pasand Aane Par Use use Karne se pahle aap Google Code Validator me check kar lo. Taki kahi se Koi error na ho.
3. Website ki Speed Check kar lo Google Website Speed Test se. 
4. Meta Description ko <head> me Prayog karo.
5. <body> tag ke andar Content code hote hai. isko sare error se free kar de. Jab Isme error rahega to aapke blog ko search engine hamesha galat update dega. 
6. Kisi Achche Designer Ka Theme hi use kijiye. Aap sora templates ka prayog kar sakte hai. 

Apne website ka html error fix karne ke liye sabse pahle apna website google me submit kar le. Iske baad aap html improvement ko dekhe.




Aapko jo google search console html improvement me error milati hai wo hai. Jiske bare me ek-ek karke bata rahe hai.


1. Meta description error

Aapko google search console ke option me sabse pahle meta description error dikhayi degi jisme aapko 3 type ke desription error show hote hai.
1. Short type meta desriptions
2. Long Type meta description
3. Duplicate type meta desriptions

Is type ke erro se bachne ke liye apne website ke theme ke code me koi error nahi rakhe aur apna theme google code validator se jaroor check kare taki kahi se koi gadbadi na ho. Aksar Theme code ki koi truti hone se duplicate meta desriptions ki problem aa jati hai. Aur aap desription ko 155 character se adhik ka na likhe.

2. Title tag

Aapko apne blog aur website ka title seo friendly banani chahiye. Aap apne blog ka title 50 - 55 character ke bich likh sakte hai. 


3. Non-indexable content

Is prakar ki problem prayah jab aap meta robot ko wrong method se use karte hai ya aapne koi page thik tarah se create nahi kiya tab aati hai. Iska solution apne template ko error free rakhe. 

To yadi aap apne site ko kisi bhi error se free banate hai to aapki site jaroor se google search me rank karegi. aur aapke blog /website par user exeperiance bhi acha bana rahega. Aur site ko error free karne ke liye google search console ka option html improvement hai hi..

(So Good Bye See you In next post.. Ek nayi jankari ke sath)