Adsense CTR kya hai click through rate kaise increase kare

Adsense CTR kya hai click through rate kaise increase kare

Adsense CTR kya hai, CTR (click through rate ) in Hindi. Ctr ke bare me puri jankari is post me aapko bata rahe hai. Jisse ki Adsense Ctr ko jaan payenge  aur ctr increase karne ke tips bhi is post me hai.




 1. What is CTR Or Page CTR

CTR ka matlab hota hai - Click Through Rate. CTR hamare blog ke pageview aur click ke madhya  ka relation hota hai. CTR ko samjhna bahut jaroori hai kyoki iske jariye hi aap apne adsense account ko safe rakh sakte hai. jab koi visiter hamare dwara place kiye gaye adsense advertisement ko sirf ek bar (one pageview) apne dekhta hai to wo impression hota hai. Impression ad ki sankhya par nirbhar karta hai. Jab koi visiter us ad par click karta hai to uske click ki sankhya ko lekar pageview me divide kiya jata hai jisse hume CTR prapt hoti hai. CTR ko hamesha % me counting hoti hai.

CTR = Click x 100 / pageview ka formula apply karne par aapko ctr prapt ho jayega. Aaiye ab ise ek example dwara samjh.
Mana aapke adsense ka pageview 100 hai. Aur us views me se aapko 5 click prapt hote hai to aapko CTR 5% hogi.

 2. What is a Good Page CTR

Ye kahna bahut hi mushkil hai aapka adsense account itne CTR par safe rahega. Kyoki kabhi kabhi website ka overall CTR 10% se upar ka rahta hai. Aapka CTR aapke blog ke NIche par depend karta hai. Lekin yadi aapko apne adsense account ko safe rakhna hai to  account ki safety ke liye aapka CTR 3 - 5% ho to best rahega. Kyoki advertisement dene wali company har 100 views me se 3 -5 click ko best manti hai. Aur itne click ko unique bhi manti hai. 

 3. Jyada click through rate hone par kaise kam kare

Maine bahut adsense user ko dekha hai ki adsense ki CTR adhik hone ke karan unka account disable ho jata hai. Kyoki wo is par dhyan hi nahi dete. Agar adsense views ke hisab se click milta hai to sabse barhiya rahta hai. Yaha par aapko batate hai ki CTR (click through rate ) kaise kam kare.

Ad unit ka jyada use karna
Aisa aksar hota hai ki paise kamane ki lalach me log bahut sara ad apne website, pages par place kar dete hai. Jisse blog/website par aane wale visiter se click pane ki sambhawana jyada rahti hai. Aur jyada click hone ke karan Ctr high ho jata hai. to CTR ko kam karne ke liye kam ad unit ka prayog kare.

High Quality Content Likhe
Jab aap apne blog par achcha content likhte hai to wo google me achchhi rank karti hai aur us par khoob dher dara organic traffic bhi aata hai. Jisse aapke blog par pageview jyada hote hai aur usi ke anupat me click bhi aata hai jisse CTR ka relation bana rahta hai. To aap high quality content likhkar ke traffic barha sakte hai jo CTR ko sahi karne me madad karegi.

Advertisement Placement
Aap apna CTR track karte hai . Jab aapka click through rate high hone lage to aap ye dekhe ki aapke kis jagah se sabse jyada click aa rahe hai. iske us ad ke place ko dusri jagah place kar de jisse ki us ads par kam click prapt ho sake. 



3. Page CTR jyada kaise kare

Aap uprokt line ko follow naa karte hue thik uske ulat kaam kare. Aapka CTR ( Click Through Rate ) high ho jayega. Aap ko organic traffic se click through rate barhane ke liye Ache keyword tool ka istemaal karna chahiye. Jisse aapke website aur blog par jyada se jyada search engine ke through traffic aaye.