Microsoft Word 10 Minute me kaise sikhe | Basic Jankari

Microsoft Word 10 Minute me kaise sikhe | Basic Jankari

Microsoft office ka ek part Ms-word ko sikhna bahut hi asan hai. Is Post me hum Aapko Ms-Word kaise sikhe ye bata rahe hai. Ms - Word jo ki word processing prograame hai. Ise sikhna Aaj ke samay me bahut jaroori ho gaya hai kyoki is application se dwara hum kewal text ko edit hi nahi kar sakte hai waran iske dwara hum kisi bhi prakar ke book, Report , Letter aadi bhi taiyar kar sakte hai. To Aapko Batate hai ki Microsoft word ko kaise 10 minute me sikha jaye.

Microsoft word ko open kare
Aap jab kisi chiz ko sikhne ki taiyari me ho to aapko sikhne ke liye kya - kya chahiye iski taiyari kar leni chahiye. To Shuruaat me Aapko Microsoft ko open karna hoga. Microsoft word ko open karne ke liye Start >> Microsoft Office >> Microsoft Word Ko select kare. To jab Aapka ms word khul jata hai to uska user interface samane dikhyi deta hai.


Jab Microsoft word open ho jata hai to usme hume (Tab) menu dikhayi dete hai aur (Tab)  menu ke andar hi  menu block dikhayi dete hai. Ab yaha Dhayn dene wali baat hai ki Block ke bhitar option paye jate hai. Jiske prayog se apne text ko edit karte hai. Microsoft me jo ( Tab) menu paye jate hai unke naam is prakar hai.
  • File
  • Home
  • Insert
  • Page layout
  • References
  • Mailing
  • Review
  • View

Jab Tab open hote hai to inke andar bahut se option paye jate hai. Sabse pahle aaiye jante hai. Iske File Menu ke bare me.

File Menu - File menu ke andar aapko New, Save, Open, Save as, Print, Page setup Aaidi bahut sare option milte hai.

Home Tab - Home tab ke bhitar aapko selecting Text option milte hai. Isme Aapko Block bhi milenge. Jo Block Milenge Usme aapko ye Naam Honge.
ClipBoard - Iske Antargat Aapko Cut, Copy, Paste, Option milenge. Niche Iski shortcut key dekhe.
  • Cut - CTRL+X
  • Copy - CTRL+C
  • Paste - CTRL+V

Font - Is block me aapko font, Font size,  Bold, Italic, StrikeThrough, Underline, Grow Font, Shrink Font Option milenge. In sabkeShortcut key is prakar hai.
Bold - Ctrl+B
Italic - Ctrl+I
Underline - Ctrl+U
Font ko Bada karne ke liye (Grow Font)  - Ctrl+Shift++




Paragraph - Hume apne document ko paragraph ko kis tarah se likhni hai. Paragraph ke dwara select karke apne text, Sentences par effect daal sakte hai.



Style - Is Option ke dwara hume apne letter ko kis heading me likhna hai ye edit kar sakte hai aur iske dwara apne text ke font ko bhi change kar sakte hai.

File ko save karna - Jab aap apne kisi letter ko edit kar lete hai aur Aap use save kar sakte hai. Save karne ke Liye aap File >> Save >> Choose file name >> Save par jaye. Aap chahe to apne letter, Sentences ko pdf tatha aur bhi extension name me save kar sakte hai. Kisi Dusre extension name me save karne ke liye aap File >> Save As >> choose extension >> save par click kar sakte hai.

To Microsoft word ki basic jankari aapko mil Chuki hai. Aap Is option ke dwara apne letter ko kisi bhi tarah ke modify, Edit kar sakte hai. Microsoft word ko aap 10 Minute me parhe aur sikhe. Microsoft word me aur bhi bahut se option hai jiski jankari aapko agle post me denge.