Google account ke delete hone par Account ko recover kaise kare

Google account ke delete hone par Account ko recover kaise kare

Yadi Aap google ki services ko use kar rahe hai. To aapne Google par apna account jaroor banaya hoga. Google account jisme hamare sabhi bio-data hum diye hue hote hai. Jiski sahyata se hum google ki sari services ko access kar rahe hote hai. Agar Aapki Google Account or id Delete ho gayi hai to aap kya chahenge. Ki hum apne Google Account ko recover kaise kar le. To is post me aapko batayenge ki Google account ke delete hone par apne gmail id ko recover kaise kare. 


Google Account kya hai?

Hume Jab Bhi internet par kuch khojana hota hai hum google ki madad lete hai. Iski madad se hum google par kuch bhi search kar lete hai. yaha Par jab aapko apni search details ko save karna ho to aap kya karenge. In sab ke liye aapko google par ek banana hoga. Jise banakar hi apni searching details ko save rakh payenge. yadi us google account ko aapne delete kar diya to aapki sari saveki hui details bhi delete ho jayenge. Jise recover kaise kare. Iske liye Apko yaha Se Kuch Step Follow karne honge. 


Google Account ko recover karne se pahle ki kuch condition

Jab Aap apne google account ko delete kar chuke hai to aap ise yani google account ko recover kar sakte hai. Iske liye aapko Ye Condtion ko follow karna hoga.
1. Aap Jab Account ko delete kiya to aap kitne din baad apne account ko recover ke liye ja rahe hai. Google Samanyatah 3 hafte se pahle delete kiye hue account ko hi recover karta hai. To Aap ko google account account ko delete kiye 21 din se jyada ki nahi honi chahiye. Isme Samay thoda badal sakta hai. Ye google par depend karta hai ki aapki id ko kitne din baad recover kare. iske liye Aap try kare.


Apne google account ko recover kariye

Aap ko apna Google account recover karne ke liye ye step ko follow karna hoga.
1. Aab Aap sabse Google Account recovery suppport page par jaye. Aap Direct jane ke liye yaha click kare



2. Ab Aap Is page par jab jayenge to aapko us id ko enter karne ke liye kahega jo aapne delete kar diya tha. 
3. Jab Aap Apni Delete ki hui email Id Dalenge to Apko login ke samay Aapse ye jankariya mangi ja sakti hai. Jinhe Aap Isme Submit karte jaye.

  • Aapka Mobile Number ( jisse Aapne Account banaya tha )
  • Aapki Date Of Birth
  • Recovery E-mail Address /Alternate E-mail Address
  • Aapka Last Possword
  • Backup Possword
  • Aapka User Name
  • OTP ke Dwara mobile Confirmation

4.  Jab Aapne Apne Sari Details ko sahi - sahi submit kar lenge to Aapka Google Account recover ho jayega. 

Jab Aapka Google account recover ho jata hai to aap Apki E-mail waise hi kaam karne lagti hai jaise pahle Aapki Email thi Aapke sare data wapas ho jayenge. Agar Apki Recover nahi hoti hai Aap Dobara try kar sakte hai.

➤  Paytm kya hai ? Paytm par apna account kaise banate hai?
➤  Apne phone ki data aur battery kaise bachaye

To kaisi lagi ye jankari hume follow jaroor kare. Is post ko social sites jaise Facebook. Twitter, Google plus par share jaroor kare.