मोबाइल को हैंग होने से कैसे बचाये - बेहतरीन मोबाइल टिप्स

मोबाइल को हैंग होने से कैसे बचाये - बेहतरीन मोबाइल टिप्स

जहा स्मार्टफोन ने हमारी चलती लाइफ को और भी आसान बना दिया है वही कुछ प्रॉब्लम भी खड़ा कर दिया है।  ऐसा हम सभी के ज़िन्दगी में देखने को मिल रहा है।   बढ़ती टेक्नोलॉजी के चलते हमलोग मोबाइल फ़ोन का इस्तेमाल बहुत धड़ल्ले से कर रहे है।  ऐसे में हम सभी जब कोई भी चीज़ो का प्रयोग करने लगेंगे तो उसके साथ - साथ कुछ समस्याएं खड़ी होगी। हम आपको यहाँ पर मोबाइल से जुडी कुछ समस्याओं और उनके निदान के बारे में बताने वाले है।  मोबाइल फ़ोन से जुडी एक ख़ास समस्या होती है मोबाइल के हैंग करने की तो।  आपको फ़ोन के  हैंग होने से कैसे बचाएंगे आप को बता रहे है 



Kabhi - kabhi prayh aisa hota hai ki phone ki speed suru me bahut achi hoti hai baad me uski speed itni slow hoti hai pucho mat! Game khelna chahte hai to phone hang hone lagta hai. Koi app istemall karna chahte hai to wo ek notifaction dekar app apne aap cut ho jata hai. Ye bahut khijh bhara hota hai. Kyoki mai bhi jab shuru me naya tha is problem se badi pareshani hui thi. To aap ko phone ko hang hone ki tips batate hai.


Mobile Hang Ke Karan

Aapka Smartphone Hang Hone Ke bahut se karan hai . Jab Aap android Mobile Ko use karenge to jo application aap use karoge uski ram me ek khas jagah store ho jati hai. Aur Mobile Apne Hisab se jagah adjust kar leta hai. Aisa Jab RAm par Overload Ho jata hai to Mobile Hong Lagta hai. Isko Bachane Ke Liye Niche Hum Tips bata Rahe Hai.

Mobile Ko Hang Hone Se Bachane Ke Liye Catchy Tips

1. Clear Cache - jab hum koi apne smartphone ka app istemaal karte hai to uski cache hamari phone me load hoti rahti hai. Isse jab phone me jyada cache ho jata hai to phone ke application crash hone lagta hai. Is problem se bachane ke aap apne phone ki setting me jakar app setting >> Open your app >> Clear cache par jakar cache ko delete kar sakte hai.

2. Background app band kare - jab hum koi app istemal kar rahe hote hai to app ka istemaal hone  par app ko sidhe home key press  karke app ko band kar dete hai aur aisa sochate hai ki app band ho gaya hai. Lekin aisa nahi hota hai aur wo app aapke phone ke background par run kar hote hai. Jisse phone ka ram bhi overload rahta hai aur isse phone hang hone lagta hai. Aap apne background app ko band karke phone ko hang hone se bacha sakte hai.

3. Ram ko bachakar rakhe - Ram hamare phone ki primary memory hoti hai. Isme hi hamare phone ke data save rahte hai. Agar hum jaroorat se jyada app install karte hai to memory phull ka message aane lagta hai. Ram par over load ke chalte hamara phone hang hone lagta hai. Jaha tak ho sake hume jyada ram wale phone hi use karne chahiye jisse hang ki problem se door rahe.

4. Low Processor - Low processor aur kam ram ki wajah se bhi phone bahut hang karta hai. Jab android phone ki kharab processing rahti hai koi bhi app nahi chalata hai aur bar-bar hang ,crash hota rahta hai. Mila - Jula Ke Fast Processing Wala Aur Jyada Ram Ke Phone Hi Aapko Kharidna Chahiaye. Kaun Chahta hai ki Aap In Sab Problem Me pado.


5. Browser ko hamesha update karke - Jab aap internet prayog karte hai to browsing ki sabhi data aapke phone me history, Cache, Cookie ke roop me save hoti rahti hai. Isse bhi smartphone hang hota hai. Hume history,cookie ko delete kar deni chahiye jisse phone hang na ho. Browser ko hamesha up to date karke rakhani chahiye kyoki browser devoloper hamesha browser me kuch na kuch improve karke user ko chalane layak banate rahte hai.

6. External Memory Card ka prayog - Hume apne app ko ram me na install karke balki SD card me install kare to hamare phone ki ram ki bachat hogi jisse phone ka hang hone se bacha sakte hai. Ram Or Internal Storage Me karenge To Mobile par Load barhega aur aapko Isse Battery Problem Bhi Aa Jayegi.

7. Booster Ka Prayog Kijiye - Aapke Phone ko jyada istemal karne se phone ki memory me  temporary files aur other files jaise cache aadi ki bahut badi matra me Junk Collect ho jate hai jisse ki Phone Ke saare Apps Aur Khud phone bhi crash hone lagte hai to . Aur Ek Chunauti Ke roop me khadi ho jati hai.

8. Heavy Apps - Aap Agar Wo App use karte hai jo 50 mb ke jyade ke hai to aapka phone hang ho sakta hai. Agar Meri Baat Maane To UC Browser , Messanger aur Facebook Bahut Saare Data Collect Kar Lete hai.  Aur Kabhi - kabhi to na dhyan dene ke karna Wo 250 Mb se upar ho jate hai aur ram ka ek bada hissa cover kar lete hai. Aisa Aap Khud Se Bhi Application Manager Me Jakar Check Kar sakte hai. Jaha Tak ho sake In Bade - Bade Apps Se bache.