blog ke liye Free image kaha se download kare Top Best websites

blog ke liye Free image kaha se download kare Top Best websites

Blog ke liye image kaha se laye. Apne blog ke liye free without copyright image kaha se download kare. Is post me aapko Top best free image download karne ki website ke bare me bata rahe hai. 

Blog ke liye image kyo jaroori hai?
Jab hum koi blog banate hai to usme acha content dalte hai taki visiter aaye lekin yaha par agar har post me image ka use kiya jaye to blog par bina image wale article ki apeksha aur adhik visiter aate hai. Iska karan yah hai ki SEO jo ki har blog ke liye jaroori hota hai. Image seo ke bahut jaroori hote hai. Blog me image ke prayog karne se Search engine me achi ranking milti hai. Search engine ke through hamare blog ki traffic barhati hai. Jab hum apne blog me Image ka prayog karte hai to isse hamara blog bahut acha dikhta hai.

Copyright image ko blog me use na kare?
Copyright image wo image hai jab hum sidhe google ke through image dalkar apne blog me use karte hai. Or phir kisi dusri website se download karke blog me prayog karte hai. Copyright image ko prayog karne se hamari blog ki seo ekdam se down hoti hai Aur ranking bhi kharab hoti hai.

Without Copyright Image kaha se Download Kare blog ke liye

Yadi Aap photographer hai to aap apne liye Khud ka photo banakar blog aur website me prayog kar sakte hai. Ya to phir aap bina copyright image ko download kar sakte hai. Yaha Un websites ke naam bata rahe hai.

Table Of Contents:
1. Pixabey
2. Pexels
3. FreeRange
4. StockSnap
5. Splitshire
6. Flickr
7. Stocksnap

1. Pixabey - Ye website blog aur website ke liye bilkul free me image provide karti hai. Iske liye koi image attribution dalne ki jaroorat nahi padti hai. Yaha par aap category ke anusar apne blog ke liye photos ko download kar sakte hai.



2. Pexels - Pexels bhi ek free image stock website hai. Iske image aap bina kisi restrictions ke Download karke apne blog me prayog kar sakte hai. Kyoki is website ke photos creative commas licesnse 0 par kaam karti hai. Aap yaha se personal aur commercial ke liye images ko download kar sakte hai.



3. FreeRange - Yaha par aapko sabhi category ki free me photos download karne ke liye mil jayegi. Aap yaha se image ko apne blog aur website ya personal kaamo ke liye bhi image ko download karke prayog me la sakte hai.


4. StockSnap - Stocksnap par high quality aur high resolution ke images mil jayenge. Sare Ke sare images CC0 license par milenge. Jisme image koi bhi copyright nahi hote hai. Inhe bina ki credit code diye free me blog ke liye prayog kiya ja sakta hai.

5. Splitshire - Splitshite website thik pixabey ke jaisi hi hai. Yaha par bhi aapko free me Image milenge. Wo bhi bina watermark me credit code diye. Is website par aapko royalty image milenge jo aapke website ki traffic barhate hai.

6. Flickr - Aap isse Apne Blog ke liye Best Photos Download kar sakte hai. Is Website par group ke alawa Photos , Ideas Bhi Le Sakte hai. Aur Iske Image Ko prayog karne ke liye aapko sign karni padti hai jab aap Sign kar lete hai to free aur premium dono prakar ki image mil jati hai. Is Website ka Mukhya Lakshya hai Apne User Ko Real Creativaty Pradaan hai Aur Naye Tariko se Photos Ko optimize karke Share Karna Hai.

7. Stocksnap - Stopsnap aapko Free Me Images Upalabdh Kara Dega Kyoki Isme AApko CC0 wali license ki images availble hai. Jiska Rule Hai ki aap author ko bina credit link diye use kar sakte hai. Isme Aap ko kisi bhi prakar ka copyright nahi aayega. Lekin Youtube ke liye Aap iske Image use nai kar payenge. Ye site Personal aur professional blog Dono ke liye Hai.



Note - Yaha par sabhi free stock for image ki website ki list hai. Jaha se aap bina kisi jhanjhat ke iske image , HD photos ka personaly or commercial ke liye prayog kar sakte hai. Lekin sabhi sites ke images ko use karne  se pahle websites ke license ko jaroor parhana chahiye. Uske term and conditions ko bhi jaroor parhe.

At The End,
Yadi aap image apne website par use karte hai to aapke website ke liye bahut hi acha hai. Isse aapka Blog jaroor progress karega. Asha hai aap ko ye post pasand aayi hogi..