Google par kuch bhi search kare aur direct result paye [google search tips]

Google par kuch bhi search kare aur direct result paye [google search tips]

Google jise sabhi internet user jante hai. Aaj Internet par yadi koi pahli bar aata hai to sabse pahle google.com ko search karta hai phir Google  me apni manpasand ke search karta hai aur imformation prapt karta hai. Waise aapko batate chale ki Google jo ki ek Search Engine hai aur ye duniya ka sabse bada search engine hai. Aisa isiliye ki ye sabhi sites ke mukable sabse acha results deta hai. 






 Google Searching Tips

To aaiye aapko batate hai google par hum kya aur kaise search kare ki hume bilkul satick aur sahi-sahi result prapt ho taki hum sahi imformation prapt ho sake.


Kisi Song ko google par search karna

 1. Kisi Song Ko Google Par Search Kijiye

jab hum apne manpasand gaane ko internet par search karte hai to popular gaane to asani se mil jate hai. Lekin wo gaane jiske keyword kuch kathin hote hai to us gaane ko search karna thoda mushkil hota hai. Jab aap kisi gaane ko search karte hai to aap us song ko sirf uska title hi google me search kare. Aapka song result aa jayega.  Yadi kisi song ke lyrics ko search karna chahte hai to google me type kare Lyrics:phir gane ka naam . Phir aap search kar de aapke song ka lyrics google par show hone lagega. kisi song ko search karte samay uske main title ko hi search kare. Yadi download karna chahte hai to aap us song ke aage download likhkar search kare.

 2. Koi Place Or Weather Ke Bare Me 

Aap google ke dwara puri duniya ka mausam ka hal pata kar sakte hai. Yadi aap kisi jagah ka mausam ki condition pata karna chahte hai ki aaj mausam kaisa rahega to google me type  kare weather:"Apne area ka pin code"  aur search kare aapke samne us area ka current mausam ki jankari hogi.


 3. Kisi PDF file Ko search karna

Yadi aap pdf file ko google par search kar rahe hai to aap google me Pdf:phir aap kya search kar rahe hai use likhe ab aapke samne search result me pdf file show hone lagegi. Jise aap click karke direct download kar sakte hai.

 4. Kisi Website ke All Pages Ko Dekhna

Yadi aap kisi bhi website ke sare webpages ko sirf ek bar me prapt karna chahte hai to aap google me website:site ka naam likhakar search kare. Us website ke sare pages open ho  jayenge. Yadi aap blogger ki koi site ke sare pages dekhna chahte hai to google me Site:blogspot.com site ka naam likhakar search kare. yadi aapke similiar website ko search karna chahte hai google me related:site ka naam likhakar search kare.

 5. Kisi News Ko Search Kijiye Google Par

yadi aap kisi website ki news search karna chahte hai to aap news:site ka naam search kare. Ye sirf usi site ke news ko dikhyega. Aap chahe to sidhe site ka naam naam likhkar google me search karke phir more results from google par click karke bhi result prapt kar sakte hai.

 6. Google search me Game Play kijiye

Yadi aap apne search me hi game ko khelna chahte hai to aap Google packman likhakar search kare aur aap pahle result me hi game ko khel sakte hai. 
yadi jankari achi lage to is jankari ko social media (Facebook , Twitter, Google+ ) par jaroor share kare.