Google Map ko offline ya Bina internet ke kaise use kare

Google Map ko offline ya Bina internet ke kaise use kare

Google map hamare liye bahut important app hai hume kahi jana ho ya kahi ki location check karni ho to hum google map ka prayog karte hai. Google map ke prayog karne ke hume internet connection ki jaroorat padati hai. Khaas kar hum us area me map ko access nahi kar pate hai jaha par mobile network problem rahti hai. Jab hamare paas slow internet connection hote hai tab bhi ye problem aati rahiti hai. Is post me apko batayenge ki bina internet ke yani offline google map ka use kaise kare. Jisse aapki yatra bina kisi jhanjhat ke puri ho.


Offline Map Use karne ke fayde
Jab hum kahi jate hai aur hamare paas mobile data nahi hota hai to hum google map ko offline use kar sakte hai. Offline google map ko use karne ke liye hume apne map ko dwara chuni gayi location ko download karni padti hai. jab download google map ho jata hai to hume wo map ke roop me offline show hone lagti hai. lekin iske apne rule hai hum jitna map select karenge map utna hi download hoga. Map ko download karne ke liye hamare android phone me prayapt storage hona chahiye jisse ki map download kiya ja sake. Map ko prayog karne ke hume kam se kam 15 MB khali ram bhi honi chahiye isse yadi kam hoga to aap ka map offline download nahi hoga.


1. Pahle aap Google map open kare. Phir aap offline Map ( area ) par click kare. isme aap ko Download map ka option milega. Download your Own map par click kare.


2. Ab Jab aap click karengge to downloading setting open hogi jisme aapko uodating related aur map aap kaha par download karna chahte hai. Device storage me ya Sd Card me ka option milega. Jise select karne ke baad aap back button par tap kare.


3.  Ab jab back par tap karenge to map select karne ke liye open hoga. Jisme aapko apna map select karna hoga.

Ye jane ki aap jitna zoom karke map ko select karenge utna hi map offline download hoga.



4. Ab aap map ko select karke Download Now par click kare aur Ab wi-fi par google offline map downloading karne ke liye confirm karne ko kahega. Phir aap Download par click kar de.


5. Ab Aapka Google map Offline Download hone lagega. Aap Notification Bar ko dekh sakte hai ki aapka map download ho raha hai ki nahi. Aap Google map >> Offline area par click karke bhi apni downloading process ko dekh sakte hai.


Google Map ko aap offline download karke bahut se kaam jaise ghoomne ki plannig, toor par jana aadi bina Internet ke kar sakte hai. Google Offline map apne aap mahine me 1 bar uppdate karta hai. Agar aap Google map ko offline me use karne ke liye  har ek mahine me updates nahi karte hai to aapka kaam nahi kar sakta hai.


I hope ye jankari & tricks aapko pasand aayi hogi. Is post par social media par share jaroor kare.