Google Hindi input tools kaise install kare Pc par

Google Hindi input tools kaise install kare Pc par

Hindi ko apne pc aur laptop par install kaise kiya jaye aur google hindi input tools ka istemal kaise kiya jaye is post me aapko puri jankari di gayi hai. Aaiye sabse pahle aap ko Google Hindi input tools ke bare me bataye.

Google Hindi Input Tool

Ye Tool google ke dwara banaya gaya hai. Is tool ka use aap android aur pc dono par kar sakte hai. Is post me aapko windows par google hindi input kaise install karke chalate hai ye bata rahe hai. Google Hindi input unke liye fayde mand hai jo keyboard ke dwara hindi typing nahi jante hai aur unke liye Hindi typing sikhna ek kathin baat hai. Aap is tool ke dwara bas jab aap english me koi word likhkar space button press karenge to apne aap us word ko Hindi bhasha me convert kar deta hai. Google Hindi Input abhi tak 22 languages me availble hai. 

Google Hindi Input Tool Download

Aapko google hindi download karne ke liye google ki site par jana hoga abhi jane ke liye yaha click kare.
Ab aap Homepage par dher sare language diye gaye hai jinhe aap jis bhasha me likhna chahte hai aap use select kar le.




Iske baad aap I agree par tick karke Download kar le. Ab aap Google hindi input tools Download kar chuke hai.

Google Hindi Input Tool Install kaise kare

Sabse pahle aap apne download kiye hue setup par click karke full software ko  Install kar le. Ab install karne ke baad aap Finish par click kare. 


Tool se Hindi me kaise likhe?

Aapko Google Hindi Input tools use karne ke liye ye step follow karne honge.
step 1. Sabse pahle aap apne computer ki control panel me jaye.
Step 2. Waha par aapko Region and language par click karna hai.
Step 3. Iske baad aap Keyboard and languges >> change keyboards par click kare.





step 4. Ab aap Drop Down menu me Google Hindi inputs tools ko select kar le. 
Step 5. Ab aap add languages par click karke Google hindi input ko select karke apne language wizard me add kar le. Or Aap chahe to Ise Skip bhi kar sakte hai. 

Yadi aap keyboard kaam n kare to aap is step ko follow kare.

step 6. Ab aap apply >> Phir ok par click karke apne process ko complete kar le.




step 7. Ab aap Notifications area ko dekhe waha par language change ka option aa chuka hai. Us par click karke aap google hindi input ko select kar le.
Step 8. Ab aap apne word editor ko open kare. Usme aap aap kuch likhe aur space bar press kare. Ab aapka text hindi me convert hone lagega.




Ab aap Hindi input ke jariye kuch bhi likh sakte hai aur aap chahe to hindi me type karke usski font ko apne man se badal se bhi sakte hai iske liye aap computer par hindi font pahle se install hona chahiye. 

Kaisi lagi ye jankari hume bataye aur aap hume follow jaroor kare aur is post ko share jaroor kare