Google Group Kya Hai Aur Google Group Kaise Banaye

Google Group Kya Hai Aur Google Group Kaise Banaye

Google Group Kya hai Aur Google group Kaise banate hai is post me puri jankari de rahe hai. Google Group ek parkar ka community hoti hai jaha par apne suggestion, vichar, aur sawal jawab kar sakte hai. Kuch group restricted hote hai kuch group me aap kuch bhi kar sakte hai. Google group ko aaj kaise banaye ye jankari is post me denge.


 What is Google Group ( गूगल ग्रुप क्या है )


Google group google ki ek service hai jaha par apne email based communty bana sakte hai Is par apne forum bana sakte hai aur us forum me site suggestion , topic related problem aadi ko apne forum (group) member ke samne rakh sakte hai. Google group email based community hai.



 Google Group Benifits 


Google group me sawaal sawab karne se hume apne kisi bhi cheez ko logo se pucha ja sakta hai. Aap apne site ke links ko usme dall sakte hai  jisse us group ke logo tak aapka vichar solution logo tak pahuch sake aur aapki site ka promotion bhi ho sakta hai. Google group ke dwara aap apne website ke links ke alawa apne photos bhi logo se share kar sakte hai.


 Google Group abhi banaiye

Aap ko Apna google group banane ke liye abhi step ko follow kare. 

Step 1.  sabse pahle aap google me google group likhkar search kare OR abhi direct google me enter karne ke liye abhi yaha click kare.

Step 2. Ab google group ka homepage open ho jayega. Isme aap Create group par click kare.



Step 3. Ab ek page open hoga jisme aapko ise bharna hai.

Group name -isme apne group ka naam bharna hai example- Making money.

Group Email Addressis khane me aapko apne group ka email address edit karna hai yahi apke group ka web address bhi hoga. For example hamara group hai. Our sabhow Group

Group Description - isme aapko apne group ka desription dalna hai. ki aapka group kis ke bare me hai.

Group Primary Language - isme aapne group ki language set karni hai. Jise aap chahe to hindi me bhi set kar sakte hai.

Group chat - Aap email Chat ko rahne de.

Basic permission - Is me owner ko kya dikhana hai kya nahi . is group me kya koi bina hamari sahmati ke aa sakta hai ya nahi iski permission iske through de sakte hai.


4. Ab aap Create par click karke apne group ko bana lijiye. Aapka Google group ban jayegga.
5. Ab aap yadi kisi ko is group me shamil hone ke invite karna chahte hai to Aap Manage >> Member >> invite meber par jakar apne invation email ko bharke send karke sakte hai.

Join Google group - Isme aap yadi kisi group me shamil hona chahte hai to aap join group par click karke join ho sakte hai . Iske liye aapko owner se sahmati leni pad sakti hai.


New Post - Aap Apne Google group ko open kare aur usme New Post par click karke apne post ke subject ko likhkar karke usme post dall sakte hai.

Reply Post - isme aapko Post kholna hogga phir aap google me reply kar paoogge aur aapki post google group owner ke dwara approove bhi ki jaegi jisse ki moderation ko active kiya hai.

Leave Group - Aap apne google group ke home page par jaye aur aap jis group ko leave karna chahte hai use aap leave kar sakte hai.

<< Jaroor Parhe >>

  1. Pc Aur Smartphone Virus Kya Hote Hai?



To ye thi google group banane ki jankari. Agar ye aapko pasand aaye to Ise social media par share jaroor kare.