Gmail Par Anchahe Emails Ko kaise Block kare

Gmail Par Anchahe Emails Ko kaise Block kare

Email account ki username ek sabse jaroori id hota hai jiska prayog sirf hum internet ke dwara kar sakte hai. Kya hota hai jab hum apne gmail account ko login karte hai aur dher sara useless message aapke email id par pade rahte hai. Aur aapke email par faltu email aate rahte hai. Ye to bahut khijh wali baat hai. To is problem se chutkara pane ke liye is tricks ko aajmaiye jo aapke email me anchahe email ko aana band kar  degi. Ya aapko anchahe email ko prapt karna hi band ho jayega. Yaha se jaroor parhe ki email Id kaisi banayi jati hai To aapko batate hai ki Faltu ya unwantes email ko kaise stop karte hai.

EmailE-mail ke dwara hum kisi message ko prapt kar sakte hai. Iske dwara hum hajaro km door baithe kisi ko message pal bhar me bhej sakte hai.Yadi aap email bhejna nahi jante hai is post ko parhiye. Iske liye hume internet ki jaroorat padti hai. Jab hum email ko kisi desre ke yaha bhejte hai to wo message me photo, video aur bhi bahut si files hoti hai. 



Anchahe email Kyo id par aate hai?


Jab hum apne email account se kisi dusri website par sign up karte hai. Aur uske term par tick karte hai. To aapke email par us site ke updates aane lagte hai. Khaskar  jab aap promotional sites par apna account create karte hai to wo sites aapke email par faltu ke message bhejna start kar deti hai. Isse hume pareshani to bahut hoti hai. Aur inke email me aksar ke loan kaise le, paise kamaye, Yaha click kare , waha aapko ye milega aadi bahut sare bekar ke email hote hai.


Unknown or Anchahe Email Ko prapt karna kaise band kare?


Aap Anchahe email ko apne email account par prapt  karna band kaise kar sakte hai. Iske aap nimn step ko follow kare.

Step 1.  Sabse pahle apna Email Account se log in kare. Aap jo bhi email service use kar rahe hai usme apne Email Id Aur possword se log in kare. Yaha par Maine apne Google account se Sign in kiya.

Step 2. Ab aap Apna koi anchaha Email Open kare. 




Email ko open ho jane par aap Email message ke niche Unsbscribe ko search kare.

Step 3. Ya to phir ek line aise likha rahega. Please Unsbscribe this Email to stop recieving.

Step 4. Aap Unsubcribe par click kare aur ab aapko us site par redirect ho jayengge. Jaha se aapko message prapt ho raha tha.




Step 5. Phir aapko ek unsubription confirmation page open hoga. 



Step 6. Ab aap unsubscription e-mail ko confirmation kar de. Ab Aap Email ko unsubscribe kar chuke hai. Aab Apko us address se email prapt hona band ho jayega.

Note - Ye ek example tha lekin aap har tarah ke email me kewal unsubscribe par click karke aap Aone anchahe email ko prapt karna band kar sakte hai.


Kabhi - Kabhi aapko kai address se anchahe email prapt hote hai.To uske liye har email ko unsubscribe karne ke liye total email ko open karke unsubscribe karna padega.

Read This;;


Facebook Messenger के Secrets Tips को कैसे जाने 

Airtel Ki All USSD Codes Ki List Hindi Me


Yaha par unroll me ek website hai jisse aap apne google aaccount ko connect karke apne inbox ke sare bekar ke messages ko delete kar sakte hai. Aap chahe to iska kayi tarah se istemall kar sakte hai. ye webstite bilkul safe hai. iska aap app par bhi use kare sakte hai.
Yadi Apko ye jankari pasand aaye to ise social media par share jaroor kare.