Free me Jio phone kaise kharide [ Pre booking Step ]

Free me Jio phone kaise kharide [ Pre booking Step ]

Jio Ab ka ekdam jana pahchana naam ban chuka hai. aur aaj ke samay me to sabhi internet user jio ke bare me jante hai. Jio ki starting sabse pahle Free calling aur Free internet se ki thi. Ab jio apne user ke liye phone ko launch kar rahi hai. Jise kharidne ke liye sabhi me utsah hai. Jio phone ke liye booking kaise kare. Or jio phone kaise kharide .Isme aapko step by step hum aapko batayenge.



Jio Phone Specifications
Jio phone ke features kaun kaun se hai ye sabse pahle aapko batate hai. Jio me jo features aap payenge unme hai .
  • Phone ka 4G hona. Jo aapko behatar internet speed ka anubhav dega
  • Ye phone t9 keypad hai. Matlab ye phone touch nahi hoga.
  • 4 GB internal storage aur 512 mb ram is jio ke phone me hoga.
  • Isme torch bhi hoga
  • Screen size 2.4 inch ki hogi.
  • Operating system kai Os par kaam karega.
  • Colour jo hoga wo black me milega.
  • Jio ke phone me single sim ko hi use kar sakenge.
  • jio ke phone ki battery power ekdam barhiya hogi. Battery 2000 MAH ki hogi.
Jio phone ke liye Registration kaise kare?
Jio phone jio par 15 august ko launch kiya gaya tha.

iski condition yah thi ki user ko mobile hath me lene se pahle kharidne se pahle user ko secuirity ke roop me 1500 rupees dena hoga. Baad me 3 years ke baad usser apne paise wapas le sakta hai.

Jio Booking Dates
Phone ki launch ki date/ realease date - 15 August 2017
Phone ke registration ki starting            - 24 August 2017 ko 5 pm
Jio phone ki Dilevery ki jayegi               - September mahine se start ho jayegi

Ap Jio ke phone ke registration ke liye sabse pahle
1. Aap sabse pahle jio.com par jakar apna account banakar verify kar le. Sign in ya log in karne ke yaha click kare
2. Phir aap jio.com par jaye.
3. Iske baad aap homepage par banner hoga jisme se pahle wale banner par aap click kare. 
4. Phir iske baad aapkse details puch jayegi jaise personal indivisual etc.
5. Form ko bhare aur apply par click karke puri form ko bhar de.
6. Puri tarah se form submit karne ke baad aap phone ka registration finish kar le.
7. Registration hone ke aapke location ke adhar par aapko phone bhej diya jayega.