Blogger par post ke bich me Adsense ke code ko kaise lagaye

Blogger par post ke bich me Adsense ke code ko kaise lagaye

Adsense ek best avdertising google ki service hai. Jo hume apne Website, App par apne ads ko lagwakar paise kamane ka mauka deti hai. Adsense par paise kamana bahut hi asan hota hai. Lekin Is website ke bahut hi kade rules hai. Jinhe follow karke hi aap paise kama sakte hai. Ab Jab Account aap adsense par banate hai to bhi begginer ko bahut hi problem aati hai aur kayi bar to unka application disapprove bhi kar diya jata hai. Is post me aapko blogger par post ke beech me or blog post ke bich me adsense ke ads kaise lagaye. Iski puri jankari di gayi hai. 



Blogger Post ke Bich me Adsense Ads Kaise Lagate hai?

Blog ke post ke beech me adsense ke ads aap laga sakte hai wo bhi simple tarike se. Apko bas ye step follow karna hai.

Step 1. Sabse pahle Blogger me sign in kare.


Step 2. Phir aap  New post  click kare Or aap jis post me adsense ke ads lagana chahte hai use Edit Html   par click karke Post editor me open kare.

Step 3. Ab aap Edit Html par click kare.

Step 4. Ab apko apne adsense ke ads code ko copy karna hai. Copy karne ke baad aap jaha par apne code place karna chahte hai. Wo Word ke phrase Search kare. Aap chahe to searching ke liye short key Ctrl+F ka prayog kar sakte hai. 




Step 5. Word ko search karne ke baad aapko us paragraph ke niche ya phir side me or kahi bhi </span> code dikhega. 


Step 6. Ab Enter karke Dusri line break par aa jaye. Aur apne Blank Sthan par adsense ke ads code ko paste kar de. 

Step 7. Ab Aap apne post ko publish ya Update par click karke Post ko live kar de.

Step 8. Ab Aap chehe to preview par click karke uska draft roop dekh sakte hai ki adsense code sahi jagah laga hai ki nahi.

Ab aap adsense ke ads apne post ke bich me laga chuke hai. Aisa har post me repeat karke aap sabhi blogger ke post me adsense ke ads laga sakte hai. 

Note - aap kabhi <div> code ke bich me ads ko paste n kare. Aur aap sidhe post composer me code ko paste bhi n kare nahi to aapka ads code kaam nahi karega.




Adsense ko Post ke Bich me Use Karne ke loss aur benefits

Post ke beech me adsense ke ads lagane ke benefits bahut hai. Jab bhi koi visiter aapke website ko open karta hai to is uddeshya se site par hame kuch nya sikhne ko ya parhne ko milega. Wo aapke blog ko aksar karke nahi dekhta hai. Wah yahi chahta hai website par kuch uniqe mile. Jo ache tarike se saja-sawara ho. Aur kisi bhi visiter ko acha lage aur aapki site ko samajh jaye. To website ki earning ke liye hum apne ads post ke bich me lagakar visiter ko direct apne ads dikha sakte hai. Jise yadi koi visiter pasand karke click karta hai to us click se earning hoti hai. Is tarah se hum apne sare post ke bich me ads bina kisi problem ke dikha sakte hai.

Aapko Ye nahi bhoolna chahiye ki adsense ad code ko share karna uske niyam ke khilaf hai. Aap isse bachne ke liye aap aap apne rss feed ko disable kar sakte hai. Isse aapke blog ke post rss feed par show nahi honge.


Latest article:



Yadi Apko ye jankari pasand aaye to is post ko social media par share jaroor kare.