Blog ke contribution ke liye author ko kaise invite kare

Blog ke contribution ke liye author ko kaise invite kare

Blogger ek free service hai jaha par hum apne vichar, suggestion aadi puri duniya ke sath share kar sakte hai. Aaj hum baat karenge aapne blog me kisi dusre blogger ko kaise invite kare ya phir jo log hamare blog par apna yogdaan dena chahte hai . To hume apne blog ke dwara dusre ko kaise invite kare.

Invite Author On Blogger


Apne blog ke contribution karwane ke liye aap kisi dusre ko invite kar sakte hai. Jaha se second user apne id ke dwara blog ya website ke liye apna yogdan de sakta hai.
Step 1. Sabse pahle aap Blogger me sign in kare.

Step 2. Phir aap Settings >> basic par jaye.
Step 3. Niche # side me Add author par click kare.
Step 4. Ab ek bada box open hoga . Jisme aap email address enter kare jise aap invite karna chahte hai.


Step 5. Ab send invitations par click par click karke bhej de.
Step 6. Ab jab second user ab aapke request ko accept kar lega to uske id par aapka blog open hone lagega . Jiske dwara apna yogdan de sakta hai.

Ab bari aati hai second contributor hamare blog ka kya-kya modiffy kar sakta hai. To chaliye aapko batate hai.
1. Second Contributor  aapke blog ko Delete kar sakta hai.
2. Apni post dal sakta hai. Aur use modify kar sakta hai.
3. Apke dwara kiye gaye post ko manage kar sakta hai.
4. Aur wo agar chahe to aapke blog ko chod sakta hai.
5. Contributor ko aapke blog ke post ke alawa kuch bhi change/modify karne ki anumati nahi hoti hai.

Yadi aap contributor ko Admin Banate hai to aap use nimn adhikar de dete hai.
1. Aapke jaisa hi use blog par control ho jata hai.
2. Wo aapke blog ka kuch bhi modify kar sakta hai.
3. Yadi contributor admin bana de to wo aapko admin pad se hata bhi sakta hai.



Kisi ko admin banane ke liye ye kare
Sabse pahle aap setting basic par jaye aur Niche invitation panel dekhe usme aapke dwara invite kiye hue author ki list hogi. Ab aap Right side me dekhe. 

Usme ek admin likha hoga us par click kare. Ab author ko chokar Admin par click kar de.  Aur save kar de ab aap admin bana chuke hai. Usko blog ka pura control aapne de diya hai.

Author ko Invite karne ke fayde
Author ko invite karne se hamare blog ki reputation barh jati hai. yadi aap ke paas waqt nahi hai post ko likhne ke liye to author aapke liye post likh sakta hai chahe wo free ho ya paid. Author ko invite karne se apne blog ke contributors ki ek community bhi bana sakte hai. Jiske jariye hum paise kamane se lekar logo ke beech kuch acha kar sakte hai. 

Yadi aapko jankari pasand aati hai to is post ko social media ko share jaroor kare