ब्लॉग के लिए Adsense Account कैसे बनाये

ब्लॉग के लिए Adsense Account कैसे बनाये

Adsense Account कैसे बनाये Complete Janakari Post Ko Jaroor Parhiye. Adsense ek advertising company hai. Adsense par account banate samay new blogger bahut si problem aati hai. To aaj is post me aapko adsense par account kaise banate hai ki puri jankari denge.

Adsense ko kyo use karte hai?


Adsnese ek best ad network hai jiske ad site ya app par ad place karke paise kamaya ja sakta hai. Adsnese apne ad publisher ko sabse best ad deti hai. Publisher apne ads ko apne hisab se adjust kar sakta hai. Adsense apne user ko ache paise bhi deti hai. Sabse achi baat ki adsense apne users ke liye lagbhag 80% revenue deti hai. Iske ads type me text ads, relavents ads, display ads, Banner ads native ads aadi ache ad ke example hai. Jise website par lagakar achi income ki ja sakti hai. 


Adsense Par account kaise banaye Puri Jankari

Adsense par approval pana new blogger ke liye thoda muskil hota hai . Is post se jane ki adsense par approval kaise asani se paye. Adsnese par account banane ke liye aap ye tay kar le ki aap ki website adsense ki niyamo ka palan karti hai. 
Adsense par account banane  ke liye Aapko niche ke  method use kare. isse aap nischit hi adsense par account banakar aap apne site ko qualify kar payenge.


1. For Blogger Blogs

Yadi aap blogger par hai to adsense par account banane ke liye aapko Earning >> Adsnese par jana hoga. aur us par   Sign up for adsense   par click karke aapko form submit karna hoga.
Kuch samay baad aapko approved ka message aapke email par prapt hoga. Ab Iske baad aap adsense apne website par prayog kar sakte hai.

TnC
1. Aapki website 3 month or isse purani ho.
2. Aapki age 18 se jyada ho.
3. Aapke website par kam se kam 20 best jo kahi se copy kiya hua n ho article hone chahiye aur us website par achi traffic bhi hona chahiye.
4. Us website ki Apna unique domain name hona chahiye.


2. For Hosted Website

Aap Adsnese par account banane ke liye direct adsense par apply kar sakte hai. Iski jankari ke liye hamari puri guidelines parhe.
1. sabse first www.adsense.com par jaye.
2. Ab Sign up par click kare. 
3. Apne Google account se Log in kare.
4. Ab ek Form Bharane ke liye kaha jayega. Jisme ye details bharni hogi.

a. Site name - Apne website ka url enter kijiye. yourdomain , .blogspot.com se related nahi hone chahiye.

b. Custome Preference updates - Isme aap No par tick kare.
Select Your Country - Aap jis country se hai use select kare.




c. Privacy Policy - Ab aap term and conditions par click kare. 


5. Ab aap Create an account par click kare . Ab aap adsense ke liye apply kar chuke hai. 

6. Is step me aapko adsnese ke code lekar apne website me paste karna hai. 


  • A. Apna website ka Html or Theme Customization ko open kare.
  • B. ab <head> tag search kare .
  • C. Ab Code ko copy karke <head> tag ke niche code paste kar.
  • D. Theme save kar de. ab aapne apne website ko adsense se connect kar liya hai.


Adsnese Payment Detail Submit Kariye

Ab aapko code paste karne ke baad apni personal details submit karni hogi. Yahi Aapke Liye Payment Imformation Ka Kaam Karegi. Iske aap apne id se log in kare. 




1. Apne Address option ko open kare aur Form ko dhyan se ekdam sahi sahi bhare.


2. Apke Account ka prakar - Ise aap indivisual (Personal account ) or Business ( Business ke liye ) dono me se koi bhi select kar sakte hai. 

3. Name and adress - Isme aapka naam aur adress ko bilkul sahi bhara jana chahiye. Koi bhi erro nahi honi chahiye. 

4. Phone Number - Apna phone number enter kijiye aur use verify kar lijiye.
5.  Ab aap submit par click karke Form ko save kar dijiye.

Ab aap adsnese ke fully apply kar chuke hai. Jab aapka adsense account puri tarah se activate ho jayega to aapke email par ek notification message email prapt hoga. Generally account ko activate hone me 1 se 2 din tak lagte hai. Iske baad aapko message approove ya Disaproove ka send kar diya jata hai.


Yadi aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par share jaroor kare.