youtube पर Video कैसे अपलोड करे - How to Upload Video On Youtube

youtube पर Video कैसे अपलोड करे - How to Upload Video On Youtube

Youtube Par Video uplaod kaise kare kisi bhi mobile se kare. In Asan se Step ke sath aap Youtube Par Sabhi type ke youtube video ko upload kar sakenge. Post Ko Puri Tarah Se Jaroor parhe.

Youtube vedio ka sabse bada collection hai. Is par kisi bhi prakar ke vedio search kiye ja sakte hai. Ye ek vedio collection ke sath badi aamdani karne wala sites bhi hai. Iss aap bhi paise kama sakte hai . Kewal apne vedio ko youtube par upload karke. Waise to aap jante hai ki youtube par sabse jyada vedio dekhe jate hai. Vedio ko dikhakar hum paisa kama sakte hai. Aaj youtube par apne kisi bhi vedio ko kaise upload kare ye jankari di gayi hai.

Uploading Video Se Judi Kuch Sharte

1. Upload karne wale ki age minimum 17 year honi chahiye.
2. Gmail par ek account hona chahiye.
3. Ek apna youtube channel hona chahiye. Agar aapka youtube channel nahi bana hai to niche ki post parhe.



Ab Youtube Par Vedio Upload Kaise Karte hai?

1. Sabse youtube.com par jaye aur right side me upload par click kare.
  
2. Click karne ke  baad ye aapko google par sign in karne ko kahega gmail id se, usme e-mail id aur possword enter karke sign in kijiye. 

3. Sign in karne ke baad  aap phir se youtube ki website par redirect ho jayenge.

4. Jaha se aap upload file par click karke apna file upload kar le. 




5. Upload par click karte  hi aapko apne vedio ko edit karne ka option khul jayega.


a. Upload karte samay video ka naam edit kare.
b. Tags enter kare ki apka vedio kis bare me hai. Jaise money,internet,blogging, etc. Tags aapke vedio ki traffic barhane me help karta hai.
c. Vedio description edit kare jisse ye pata chale ki apka vedio kis ke bare me hai

6. Ab save kar dijiye aapka vedio upload ho jayega .



Last Words

Aapka vedio youtube ki website par upload ho gaya hai. Ab aapke vedio ko har koi dekh sakta hai. Jyada traffic karne ke apne vedio ko social media par share karna n bhoole. Wo vedio quality dekhkar Aapke channel ko subscribe bhi kar sakta hai.