Paytm kya hai ? Paytm par apna account kaise banate hai?

Paytm kya hai ? Paytm par apna account kaise banate hai?

Paytm kya hai aur paytm par account banane ki puri jankari hum aapko is post me de rahe hai. Post ko Thoda gaur se parhe humne Aapko completely paytm ki jankari dene ka prayas kiya ha.
Paytm ek payment company aur e-commercial company hai. paytm ke dwara hum apne payment recieve kar sakte hai aur jaisa ki ek e-commercial website bhi hai. So is website ke jariye hum koi bhi product kharid bhi sakte hai. Paytm ki website 2010 me launch hui thi jiske founder vijay Shekhar sharma the. iska headquartter Noida (New Delhi) me hai. yaha par bikane wali vastuo me sabse jyada clothes, and mobile wale product shamil hai. Paytm ke dwara hum bill pay aur mobile recharge bhi kar sakte hai. Paytm se hum ticket, movie ticket, air ticket bhi book kar sakte hai. To aaiye ab jante hai ki Paytm par account kaise banaye? 



Paytm par account kaise banate hai Puri jankari

  • Sabse pahle paytm ki website paytm.com par jaye.
  • ab jab homepage open ho jaye to right side me Log in/ Sign up kar click kare.
  • ab ek popup windows open hogi. ab sign up par click kare. jisme aapko ek form bharna hoga.
paytm par account kaise banaye

1. pahle wale tab me Apna mobile number enter kare.
2.second tab me apni e-mail id dale.
3. Ab apna paytm possword fill kare.
4. cerfication par tick kare. ( Aapki age 18 years old honi chahiye)
5. Create Your Paytm Account par click kare.
  • Ab apka paytm account ban gaya hai. Ab aap apne paytm account ko access kar sakte hai.

Paytm Par Account Create ke benefits aapko kya - kya honge

1. Paytm se mobile recharge kare.


Paytm se aap instantly apna mobile recharge bhi kar sakte hai iske liye aap ye step follow kare.

  • Sabse pahle aap apne account se paytm me login kare. 
  • Ab aap apna mobile number, Operater, sim Location Zone ko select kare.
  • Phir Aap kis type ka recharge karna chahte ko select kare yaha par 2 option diye gaye hai. 1. special recharge 2. Talktime recharge.
  • Aap Fast Forward par tick kare.
  • Recharge Now Par click kare. Aap kis madhyam se payment karna chahte hai. Usko select kare.
  • Yadi aap debit card se payment karna chahte hai to aap apna card number, Expiry date, CVV number number enter kare aur otp prapt karke pin ko enter kare. Phir aap payment now par click kare.
  • Ab jab aapka transaction complete ho jayega to aapka mobile recharge ho jayega. Iski sthiti aap apne history me jakar check kar sakte hai.
Isi Tarah se aap paytm se DTH Recharge, Electric Bill Payment, Data Card, Fanancial Etc bhar sakte hai. 

Read More - 


Aaj Jab India me digitak kranti ho rahi hai to isme paytm ka sabse bada hath hai. Kisi bhi shop par aap jakar apna payment paytm ke through kar sakte hai. Paytm se hum jab  hum koi recharge ya vastu kharidate hai to usme hume kuch off bhi milata hai jo 10% se 100     % tak ho sakta hai. Ya phir hum Promo code use karke bhi off prapt kar sakte hai. Jab hume kisi cheez par off milata hai to uska cashback hume wallet me mil jata hai ya phir us product par promo code apply karke apne us samaan par off par kar sakte hai.

To ye thi paytm ki puri jankari . Ye Jankari kaise lagi hume bataye. Hamara page like jaroor kare aur hume twitter par follow jaroor kare.

Tags - Paytm par account banane ka tarika, Paytm ki jankari puri jankari hindi me.