Email Kaise Bhejte Hai ( Gmail Se ) Step By Step Guide

Email Kaise Bhejte Hai ( Gmail Se ) Step By Step Guide

Hum Aapko Is Post ke through kisi ko e-mail kaise bhejte hai aur email ke sath files ko kaise add karke bhejte hai hum aapko complete details ke sath jankari Hindi me bata rahe hai.
E-mail ke dwara aap message,file computer network ke madhyam se khi bhi bhej aur prapt kuch hi minuto me kar sakte hai. Aur ye sah internet ke dwara hi sambhav hai.Dosto aaj ke samay me jis tarah se e-mail popular hua us tarah se to last time me koi messege service nhi hui. Ek email se prathmik sampreshan system ke roop me jiske dwara personal aur vyaparik imformation ka adan-pradan ho sakta hai.Aap e-mail programme jaise-outlook,hotmail, gmail ke madhyam se email kar sakte hai.jisme aap simple text se lekar audio,video clip ya koi bhi document attach kar ke send kar sakte hai.To chaliye hum apko gmail par e-mail kaise kiya jata hai ye batate hai.


Is Jankari se aap kisi bhi site se aap email kar sakte hai. Wo isiliye ki sabhi sito par jaise , Rediffmail, Hotmail, Gmail etc par ek jaise option hi milte hai. Wo option apko bata rahe hai.
1. To
2. CC
3. BCC
4. COMPOSE
5. ATTACHMENTS
6. Subject

Ab in option ke bare me puri tarah se vistar se jante hai.

To

TO- To ka matlab hota hai ki aap kis ko e-mail send karna chahte hai. is Box me me aapko bhejne wale ka pata likhna hota hai. For example ke taur par Aap kisi ki e-mail id (sabhowblog@gmail.com) daal sakte hai.


CC

CC ka matlab  hota hai - Corbon Copy . Iske dwara aap kisi others ko us mail ki corbon copy send kar sakte hai. Yaad rakhe ki aap jis ki id isme dalenge kewal use hi mail ki corbon copy prapt hogi. In Other Words,
yadi aap jisko message kar rhe hai aur kisi anya ko batana chahte hai to uska email dalkar suchit kar sakte hai jisse usko bhi notification apke e-mail karne par milegi.

BCC

Iska Full Form hota hai- Blank Corbon Copy.
yadi aapne cc me 4 logo ka email dala hai aur aap chouthe ko imformation nhi dena chahte ki aap kya bhej rhe hai.Ke liye usko uska e-mail dalkar block kar sakte hai.




SUBJECT

Subject ke antargat aap apne dwara likhe gaye mail ka title likh sakte hai. Or
isme aap kya likhkar bhejna chahte hai wo likhna hai.


ATTACHMENT

 Attachment ke jariye hum kisi bhi file or document ko send or recieve kar sakte hai. Attachment ke through aap isme aap koi bhi document jaise audio,video clip etc dalkar bhej sakte hai.


Aap e-mail kaise bheje Or How to send e-mail?

Aap apne message ko Google account ke jariye bhej sakte hai aur tivra gati se prapt bhi kar sakte hai. Apne gmail id se email kaise kare aapko batate hai.

  • Sabse pahle apne Google Account se Gmail me Login kare.
  • Just Left side me Compose par click kare.
  • Ab Form ko Fill kare.
  • Last me Send Par click kare.
  • Ab Aapka e-mail kuch seconds me recipients ko recieve ho jayega.
Gmail se email kaise send kare

E- mail se labh

1. Apne message ko turant send krne aur pane ke liye isse acha koi madhyam nhi hai.ek email se kuch hi minuto me message kar sakte hai.
2. e-mail send or receive karne ke liye koi bhi shulk nhi dena hota hai means ye free hai.
3. ek e-mail kahi se bhi aur kisi bhi samay par ja sakti hai.

Read More

Conclusion

Aj apne jana ki gmail se email kaise kare e-mail se hum apne kisi message ko kam samay me kam kimat me khi bhi kisi bhi time kuch hi minuto me send aur prapt kar sakte hai. Aap chahe to isi step se mobile se email bhej sakte hai.

Kaisi lagi ye jankari hume bataye apka suggestion,comment is site par inzarr rhega aur last me hamara fb page like karna n bhoole.