GST kya hai Ye kaise hamare jivan par effect karegi in Hindi

GST kya hai Ye kaise hamare jivan par effect karegi in Hindi

Ab India me har jagah ek hi cheez ki charcha hai wo hai- gst kya hai aur ye hamare jivan ko kis tarah se badlegi. Hamare jivan ko kis tarah se prabhivit karegi hume kya fayda aur nuksaan hoga. In sabhi sabhi sawalo ke ghere me hum sabhi aur aam janta hai. Aaj ke is Post me Hum Aapko GST ke bare me aapko batayenge.




GST kya hai :- GST ka pura naam Goods And Services Tax hota hai. Matlab hamare dwara kharide gaye saman tatha kisi bhi cheez ka prayog karne par hume us chij ke hisab hume tax dena padata hai to Wo service tax kahlata hai. Jise GST ka naam diya hai. Pahle India me Sabhi sammaan par alag alag tax dena padta tha . Matlab Ek coupon ko maan le pahle kisi company ka coupon kharidne par hume service tax sahit 2.30 paise lagata tha ab jyada lagega wo bhi 18 % ki dar se. Ab aap hisab laga le 10 rupee ka 18% kitana hoga. Ab jab GST India me 1 july se lagu ho jayegi to GST ke antargat sabhi chijo jinka tax nirdharit kiya gaya hai us par 18% tak hum tax se bach sakenge kyoki pure India me kewal ek hi tax system lagu ho jayega.. Aur jin chijo par  kam rakha gya hai wo sasta hoga.

GST ka prabhav hamare jivan par :- GST hamare liye kyo important hai. Wo isiliye hai ki Hume gst ke lagu hone ke baad kaun se saman saste milenge aur kaun se saaman mahnge. Kahi aam janta ki jaroorrato ki chijo par mehgayi n aa jaye. Sarkar ne kin-kin chijo ko mahanga ya sata karne ka faisala kiya hai aaiye jante hai.

GST se hume kaun-kaun samaan sasta aur mahenga milega :- Ab tak ke tax system ke anusar sabhi chijo par 24% tak tax lagta tha lekin ab wo ghatkar 12-14 % tak rah jayegi. Mehangayi wale samaan me hume shampoo aur sona tatha sugar(chini) bhi mehnga ho jayega. Bazaar ke sabhi Electronic upkaran bhi mehenge ho jayenge aur Insurance policy bhi mahengayi ke ghere me aa jayegi. Sabse badi ab mobile recharge aur uska bill matlab telecom ki sabhi sewaye mahengi ho jayengi. Aaiye ab jante hai ki kya-kya sasta hoga. GST ke dwara Kapda, JUTA(shoes) , chappal matlab pahnane aur orhne ki chijo par sasta ka effect hoga. Sabun aur Icecream tatha anya khane wali chijo ko sasta rakhene ka faisala kiya gaya hai. 

GST ke Fayde aur Nuksaan :- GST ka prabhav hume GST ke lagu hone par hi pata chalega. Kyoki har sikke ke do pahlu hote hai. Yadi hum koi chizz prayog karte hai to uska hume kisi n kisi tarah se fayda aur nuksaan jaroor hota hai. Baharhaal hume GST ki wajah se vehicles ko kharidna mahenga padega. Aur gadiyon ke parts vagairah bhi mehange ho jaenge. GST se nipatane ke liye lagu hone ke baad ye dekh le ki ye hamare jeevan par kis tarah ke effect karti hai fir iske baad hi koi kadam uthana chahiye.  Taki hamara jeevan sukhi aur asaan bane rahe.

Conclusion :- To ye jankari GST ki gst ka sahi use kare aur apne life samridhh banaye. kaise lagi ye jaankari hume bataye aapke dwara diye gaye pratikriyao ka intzar rahega.