Fevicon Kya hai ? Blogger Par Custom Fevicon Kaise Add Kare

Fevicon Kya hai ? Blogger Par Custom Fevicon Kaise Add Kare

Fevicon Kya hai, Blogger Par Apna Fevicon kaise add karte hai. Fevicon kya hai hum Puri jankari aapko is post me bata rahe hai. Fevicon blogger par ek choti si image ki file hoti hai aur ye kisi bhi prakar ki website jo kisi browser me khuli rahti hai . Us window ke title bar par left side me ek chote se image ke jaise dikhati hai. fevicon ko use karna bahut hi asan hai aur isse hamari blog aur website fully attracted banti hai. Generally taur par log apne website par blog ka title ka kuch par ya short ke roop me istemal karte hai jo kisi bhi website me fevicon use karne ka ek best madhyam hai. Aaiye ab hum aapko sankshep me batate hai fevicon kya hai aur blogger par fevicon ko kaise use karte hai.

Fevicon Kya hai?

Jab aapne koi website open ki hogi to website ke url ke left side me ek chota-sa image jaroor dekhe honge. Ise hi favicon kaha jata hai. Favicon ke use karne se website ki ek alag pahchan hoti hai. Fevicon icon use karne se  Website adhik akarshak dikhti hai.

Fevvicon Kaise banaye

Blogger par apna fevicon banane ke apne rule hai. Jisme aapko Blogger par fevicon icon banane ke liye image ki size maximum 100 kb honi chahiye. Aur uski width-100 pixels, height-100 pixels ki honi chahiye. Means apka favicon 100x100 width me hona chahiye.  Jise aap paint, photoshop etc, image creater tool se bana sakte hai.

Blogger par apna custom fevicon kaise use kare or upload kare

1. Sabse pahle aap blogger ke dashboard me jaiye. Phir layout section me jaiye.
Jaha par apko sabse uper favicon par click kijiye.

Blogger Par Fevicon Kaise Use kare


2. Apke samne ek popup window open hogi. Jisme upload ka option bhi hoga. Choose file par click karke apne favicon upload kar lijiye.

3. Jab apka favicon icon upload ho jayega to apka favicon show hone lagega. Jise aap save button par click karke save kar sakte hai.

Kaisi lagi ye choti si jaankari hume bataiye aur yadi aap blogger se judi sabhi post parhna chate hai to aap blogger Navigation ki category ko select kare.