English kaise sikhe sirf kuch din me 100% guaranteed tricks

English kaise sikhe sirf kuch din me 100% guaranteed tricks

English kaise sikhe Wo bhi kuch Samay me English Bolne aur Likhne ki Tips Hum aapko isme bata rahe hai jisse aap Bina kisi Course ke english speaking aur wirting me expert ho jayenge.
English ek foriegn language hai jiska use log ab vyapak taur istemal kar rahe hai. iski vyapkata ke karan hi ise internatiol language ka darja pradan kiya gaya hai. Aaj ke jamane me English ka craze india me jabaradast tarike se barha hai. Log apne bachho ko English medium schools me hi parhana chahte hai aur hamari bolchaal ki bhasha aur india me Hindi ki vyapakata ke karan Log jaldi se English sikh nahi pate. Aaj is English bhasha ko kaise sikhe wo bhi kam samay me iske liye kuch tip laya hu jise aap palan karenge to aap nischit taur par English sikhne me aapko koi pareshani nahi hogi. To aaiye shuru karte hai..




Common Tips English Sikkhne Ke liye


1. English Books :- India me national level par Hindi language boli jati hai aur India ki rashtriy bhasha bhi Hindi hai. Kisi dusre bhasha ko sikhne ke liye aapko us bhahsha ki prayapt books honi chahiye. Aap kewal ek books se kisi bhasha ko completely nahi sikh sakte. Aur ha kewal us bhasha ki kuch jankariya hasil kar sakte hai. Jhir taur par aapke paas kisi ache writer ke dwara likhi gayi English ki pushtake honi chahiye.

2. Grammer :- Grammer kisi bhasha ki jaan hoti hai iske bina aap kisi bhi bhasha ko thik-thik tarah se bolana , likhana aur parhna nahi jaan sakte hai. Isse aapko pata chalata hai English sikhne ke liye aapke grammer ki book honi chahiye. Grammer ke dwara hume us vishywastu ke alawa hume sabhya tarike se jina bhi sikhata hai. Hindi se English bhasha ko sikhne ke liye market me Aajkal bahut se writer ki Grammer ke book availble hai. Yadi aap android phone use kar rahe hai to aap English Grammer ki app play store se download karke bhi parh sakte hai.


3. Dictionary :- Yadi aap English sikhna chahte hai to aapko ek dictionary leni hogi. Dictionary ke bina aap English ka katai nahi sikh sakte hai kyoki English bhasha word-meaning par hi adharit hai. Aapke paas bhale hi grammer ki jaankari kam hai lekin agar english ki dictionary ka knowledge yadi aapke achi hai to aap samjhiye ki aap english ke 70% jankar hai. Aap Dictionary ko playstore se bhi Download kar sakte hai. Hinkhoj English dictionary ka best android app hai. Ye app Hindi to English aur English to Hindi Dono bhasha me kaam karta hai.

4.  Regular Practice :- Regular practice kisi bhi skhetra me success hasil karne ka best tarika hai. English sikhne ke liye aapko roj aur niymit roop se practice karni hogi. aur ye bhi yaad rahe ki aap kisi dusre bhasha ko sikhne ja rahe hai jis par maharath kewal hard se ki jasati hai. Isiliye Roj parhe aur koi Topic aapko nahi aati hai to aap kisi apne se senior ki help le sakte hai.

5. Roj kam se kam 10 English ke word yaad karna :- yadi aapke paas English grammer ka gyan bahut hai aur aap ke paas english ka knowledge kam hai to aap english ko na hi samajh payenge aur nahi likh payenge. Kyoki English shabdo par adhaarit hai. Aur English kewal shabdo se hi sikhi ja sakti hai. Kyoki jab aapko kisi ka word ki meaning aapko pata hogi to aap english ko achi tarah se samjh sakenge. Isiliye kam se kam 10 ya usse jyada  words ko yaad kare.


6. English ke liye Mahaul :-  Ye kisi bhi bhasha ko sikhne ke liye sabse jaroori hota hai. Iske liye aap apne aas-paas English sikhne hetu mahaul banaye aur English Movie dekhe, News parhe, English me bat kare., Dosto ke sath English me conversation kare. Etc activity hai jinhe aap English mahaul banane hetu prayog kar sakte.



To dosto ye thi kuch tips jisse aapko English parhne samjhne me mereye tips aapko kaam aayegi.kaisi lagi ye tips hume bataye hume subscribe jaroor kare aur hamara page bhi like karna mat bhooliye.