Computer / Android Phone Me Screenshot Kaise Lete hai?

Computer / Android Phone Me Screenshot Kaise Lete hai?

Screenshot Computer / Android Phone Me Screenshot Kaise Liya Jata hai. Hum Screenshot Lene Ki Puri jankari Aapko Is Post me de rahe hai.
Screenshot word se sabhi internet user parichit hai. screenshot ka matlab - kisi window ka kisi software ya hardware se photo lena. Aaj ke post mai ek aisi tarike ko batane ja raha hu jo apka aur ye tool mera favourite hai. Wo hai pc [ include- windows 7] me bina kisi software ke screenshot kaise le . Chaliye jante hai----


Screen Shot Kya Hota Hai?

Darasal jab hum apni pc par kuch kaam kar rahe hote hai to pc par kuch window bhi open rahte hai aur yadi hum kisi window picture lena chahte hai to kisi camera ki jaroorat padati hai aur uske through photo lena jo ek napasand work hai. Lekin kisi doosre tarike ke dwara jab hum bina kisi doosre camre ki help liye bina ksi window ko image ke roop me create karte hai to ise screenshot lena kahte hai. Screenshot ek image ka hi roop hai.
Screenshot ke bahut se labh hai jaise- kisi othres ko image ke madhyam se tutorial dena etc.

Related Articles >>

Computer / Laptop Par Screen Shot lene Ke Best ways

1. Sabse pahle pc ka start press kare aur phir serach bar me jakar  snipping tool search kare.
2. Snipping toools par click karke use open kare.



3. New par click kare aur phir aap screenshot le sakte hai. Apne pc ke kisi bhi window ke hisse ka.
4. Screenshot lene ke bad aap save button par click karke save kar sakte hai.

Editind option is tool me availble hai ?
Aap apne  screenshot ko edit bhi kar sakte hai. Is tools yadi kuch likhna ho to iss tools me pen, highliter, eraser ka option bhi hai jisse aap image ko edit kar sakte hai.

Snipping tools se aap kitne tariko se screenshot le sakte hai?
Is tool se aap 4 tarah se screenshot le sakte hai.
  • Free from snip [ isse aap window ke kisi bhi hisse ko kainchi se katkar screenshot le sakte hai].
  • Rectengler snip [ isse aayat ke roop me screenshot le sakte hai].
  • Window snip [ is option se aap kisi current window ki full screenshot le sakte hai. ]
  • Full-screen snip [ isse aap apne pc ka full screenshot le sakte hai.
Updated???
Yadi aap chahe to third party software use kar sakte hai. Iske liye google me search kar sakte hai. Aap chahe To apne Keyboard Ka prayog karke bhi screeshot le sakte hai . Iske liye aapko prt sc key ko dabana hoga aur pait open karke paste karna hoga.

Android Smartphone Par Screenshot kaise Le

Samsung Smartphone
Samsung Phone me Aapko Screenshot lene ke liye 3 key ka Use karna hota hai. Volume up Key + Home Button + Power Key ko ek sath Press kijiye. 2 Second Ka wait kijiye aur aap dekhenge ki Aapke screen ka Picture le liya hai.

Other Smartphone
Aap Kisi Bhi company ke Smartphone me screenshot lene ke liye Bus Aapko Volume up Key + Power Key Ko ek sath press karna hai. Iske baad Turant aap Screenshot le sakenge



Asha hai ye janakari apko pasand ayi hogi humko apka is site ke bare me suggestion comment ka intzar rahega.aur last me hamara fb page like akrna n bhoole.