Android Smartphone Ki Data Aur Battery Save Karne Ki Behatreen Tips

Android Smartphone Ki Data Aur Battery Save Karne Ki Behatreen Tips

Android Smartphone Ki Data Aur Battery save Karne Ka Behatreen Tips Aapko Is Post me Bata rahe hai. Jisse aap Apne Phone ki Battery Life Ko barha Payenge. Post ko Pura Parhe Ab Aage..


Smartphone aaj ke jamane me is busy zindagi ka ek bahut hi main part ho gaya hai. Aur ab ke smartphone apne aap me khud hi smart hai jo kaam pahle kewal computer ya pc par ho sakta tha ab uska sthan in chote se smartphone ne le liya hai. Aaj kal smartphone me bahut sare feature availble hai. Aur aaj logo ki ek aur problem wo hai battery problem jo ki ek irriative part hai. Aajkal bahut se logo ki samsya hai ki data jaldi khatm ho jati hai,aur battery bhi is samsya se nijat pane ke liye mai ek aisa upay laya hu ki jinse ap n kewal data hi nhi apitu battery ki khapat ko kam kar sakete hai.



Apke smartphone par kitna data khatm ho raha hai. Is par bhi apki najar lagi rahti hai. Aur  jab wi-fi zone me rahte hai to apne download chize ko usi samay pura karna chahte hai. Lekin yadi hum data ka use karte hue hum kuch kadam uthaye to hum apni data ko bahut had tak bacha sakte hai.

To chaliye Yaha par kuch tips hai jinhe aap use karke data aur battery dono bacha sakte hai. Yadi ap chrome browser use kar rhe ho to chrome me data saver ko on karke ap apne data ke kharch ko kam kar sakte hai.


Data Aur Battery Save Karne Ki Tips

1. Is step ke liye ap sabse pahle chrome browser ko open kare aur screen ke dahine taraf upar me apko teen bindu dikhayee denge us par click karke setting par jaiye aur niche diye gaye data saver par click karke select kar lijiye.

2. Kai bar apse bina jane apka phone bina kisi karan se tarah tarah se app ko sync karta rahta hai. Chahe uski jaroorat apko ho n ho yadi apke dwara ise band kar diya jaye to data aur battery dono bach sakti hai.Yaha par niche diye step ko follow karke settings save kar le.

a. Apne phone ke setting me jakar accounts ki setting chuniye
b. Iske baad ap un sabhi app jinke data ko sync hone ki jaroorat nhi hai unke box se mark hata dijiye. Ab aapki settings ho chuki hai.

3. Ap apne smartphone ke background data band karke bhi data aur battery bacha sakte hai.iske liye ye settings kare.
a. Apne smartphone ki setting me jakar account and sync  me jakar background data ka disable kar dijiye.

4. Back ground data ko simit karne ke liye apne phone ki setting me jakar data uses ko select kariye uske baad screen ke upar wale bhag me click karke ristrickt background ko data ko chun sakte hai.

5. Ab apke smarphone par sabhi app background ka data istemal karna band kar denge aur iska prabhav apke notification par dekh lenge aur wo der se apke phone par ayenge

6. Yadi aap apne smartphone par data limit set kar dete hai to apka data control me ho sakta hai.

7. Aap apne phone ke sabhi app jiski aapko jaroorat na ho use uninstall kar dijiye aur kuch phone ke app jo uninstall nahi ho sakte hai unko app manager me jakar Disable kar dijiye. Kyoki battery ki khapat faltu app se bhi hoti hai jo aapke smartphone ke data on hone par apne aap ads show lagte hai. Aur aap kewal is samsya se nijat uninstall karke hi paa sakte hai.

Kahi Jaiye Mat Ye Parhiye


Yadi ap humse koi bhi sawal ya kisi dusri baat par pratikriya dena  chahte hai to humse sampark kare hume apka intjaar rahega. Apki sahyata karke hume khusi hogi.