Twitter क्या है और twitter पर अपना Account कैसे बनाते है ?

Twitter क्या है और twitter पर अपना Account कैसे बनाते है ?

Twitter क्या है और Twitter पर अकाउंट कैसे बनाये - Sabhi Log Apna Message Twitt karte hai. Lekin Kaise ! Kuch Nahi bas Twitter Par account banakar aur kya.. Aap bhi janiye Ki Twitter Kya hai Aur Twitter Par Apna Account kaise banaye Simple Tarike se.
Twitter ek social networking website hai jaha par log apni bate ek chote se message ( jise aksar log twitt karna kahte hai ) ke madhyam se logo se share karte hai . Facebook ki tarah hi ye bhi ek bada social media site hai. Aaiye Aaj Aapko batate hai ki ek best social media Twitter par apna khud ka account kaise banate hai. Sabse pahle sankshep me twitter ke bare me aapko batate hai.


Twitter Kya hai?


Twitter ek social social network company hai . jis par aap apne dosto family etc ko ek chota sa message jisme lagbhag 140 character se jyada nahi ho sakte hai. ko aap send aur recieve kar sakte hai. Twitter jo 2006 me launch hui thi tab se lekar twitter ki service active hai aur apni service lagbhag sabhi country me muhaiya kara rahi hai. 

Twitter Par apna Account kaise Banaye

step 1. Sabse pahle aap twitter ko google me search kijiye. Or twitter ki website www.twitter.com par jaiye.


step 2. iske bad search results ke pahale wale par click kijiye ab aap twitter ki website par pahuch jayenge.

New to Twitter? Sign up now »

Step 3. Ab aap login option panel ke niche new to user ke bagal me sign up ka link hai us par click kare. Click karne ke baad ek window khulegi jisme aapko ye jankariya bharni hogi.
  • Apna pura naam apko bharna hoga yaad rakhe ki yahi naam aapka username jaise @sabhow3 bhi hoga.
  • Isme aapko apna phone number ya apni email id ko daale. jisse aapna possword bhool jane par aap apne account ki recovery kar sake.
  • Apna koi acha sa strong possword choose kare. Aur form me bhar de.



step 4. Ab Aap           Sign up         par mouse se click kare. Aap dekhenge ki aapka account create ho gaya hai. Ab aap apne dosto , families etc ko follow kar sakte hai aur unhe twitt kar sakte hai. Ya phir aap hume bhi follow kar sakte hai @sabhow3 twitter par search karke bhi hume follow like share kar sakte hai.

Ab jab aapne twitter par apna account bana liya to kyo na twitter ka use kiya jaye. Ab aapki bari hai twitter par message post karne ki aur puri duniya ko batane ki hum bhi twitter par kuch kar sakte hai aur twitter hamari ek khas pahchan ho. To der kis bat ki aaiye twitter ki fast and majedar services ka maja le.
Yadi aapko hamare dwara di gayi jankari achi lage to social media par share jaroor kare aur phir hume subscribe karna n bhoole..