Google account ki 2 - step verification kaise enable kare

Google account ki 2 - step verification kaise enable kare

Google Account ki 2 - Step verification kaise Enable kare In Aasan ke step ke sath.
Security hamare life me ek mahtvapurna sthan rakkhta hai Chahe wo kisi bhi tarah ki ho. Aaj security se sambandhit hi internet par gmail id ki 2 - step verificaion ko kaise enable karte hai. Aaj hum aapko batayenge lekin iske pahle 2 - step verification ke bare me jaan le.




2 - Step verification Kya hai?

jaisa ki heading ke meaning se hi spasht hai ki - Pushti karne ka dohra kadam. Second step verification apne google account ki ek behatrin surakha ka system hai jiski madad se aap apne google account ko aur jyada secure kar sakte hai.


2 - Step Verification Kaam kaise karta hai?

2-step ko on karke hum apne google account ki aur adhik secure kar sakte hai. Jab hum google me login karte hai to apni id aur possword dalne ke bad hume apne mobile number par (jis number se id banayi thi)  ek otp google send karta hai jise enter karne ke baad hi hum google account me login kar sakte hai.

Advantage???

2- step verification ke hume bahut se fayade hai.
  • Yadi hamare google id ka possword koi jaan leta hai ya phir possword koi chura leta hai to wo possword jankar bhi hamare account me login nahi kar sakta.
  • Bahut se blogger jo blogger par blogging kar rahe hai aur unki google id hi sab kuch hoti hai to unke liye ye jaroori ho jata hai ki 2- step verification on kar le

2 - Step verification Kaise Enable kare?

step 1. Sabse pahle aap google par google myaccount likhkar search kare. or Aap Direct is link par click kare.

step 2. Ab aap ko apne gmail account se login karne ko kahega. So aap usme Apni gmail account se login kare ( Yadi aapke paas gmail account nahi hai to banane ke liye click kare aur janiye ki gmail account kaise banate hai.

step 3. Ab aap apne email account ke control panel me pahuch jayenge jaha par aapko sign in & security ke antargat aapko signing in to Google par click karna hai.



step 4.  Ab next step me, aapko possword and sign in method me 2-step verification par click karna hai. 2- step verification par click kare.

step 5Ab aap Second security ke page par pahuch jayenge jaha par aap GET STARTED par click karna hai.

step 6. Ab aap se dobara google gmail possword enter karne ko kahega. apna possword re-enter kare.


step 7. Ab ek page open hoga jisme aapke number par otp send karne ke process par aage barhne ke liye kahega jisme se aapke paas do option honge-

  • 1. Text message ke dwara code prapt kare
  • 2. Phone call ke dwara otp prapt kare


step 8. Yaha par text message ko select kiya aur next par click kiya. Aur otp prapt kiya aur otp ko enter kiya.



step 9. Ab otp ko dalkar next step par click kiya . Ab ek page open hoga aur usme Turn on ka button hoga uss par click kare.



step 10. Ab aapka second step verification on ho gaya hai. Ab aapka google account aur adhik secure ho gaya hai.

UPDATED??

2- step verification ke alawa bhi hume google apne account ki surakha barhane ka feature diya hai. jisme se aap koi security question , backup codes, google promt, backup phone jaise feature availble hai jinhe  Aap chahe to use enable kar sakte hai


Finalize..

Hamare liye google ki service ka labh uthane ke ek google account ki jaroorat padati hai jo hume free me milati hai matlab hum google account ko free me bana sakate hai. Isi google account ki sahayata se google ki sari services jaise blogger, googlemap, google play store, audi bahut sari services hai. jiska hum istemal kar sakte hai. Aur jab hume itni sari suvidhaye sirf ek hi account se milati hai to us account ki surakha rakhna bhi google ki jimmedari banati hai iske liye myaccount.google.com ki site bhi google ne banayi hai jaha par aap apne google ki account par apni detail submit kar sakte hai. yaad rakhe ki ye sab secure site hai. is par koi bhi prakar ki samasya nahi aane wali hai.