Blog ki Post ko copy hone se kaise bachaye

Blog ki Post ko copy hone se kaise bachaye

Post ki copy hone se kaise bachate hai. Aap Apne Post ke content ko cut aur paste karne se kaise bachaye Is Post me Aapko puri jankari de rahe hai.
Jab bhi hum koi blog par post likhkar dalte hai. To use safe rakhne ke liye ki koi use copy n kar paye. Iski security bahut jaroori hoti hai. Kyoki isse blog ko bahut nuksan hota hai. Aaiye jante hai ki apne blog ko kaise copy karne se roke-

Post Ki Copy Hone Ki Possible Reason

Waise to website ke content ki choriya to aam baat hai. Lekin internet par websites/blog post ki chori kuch jyada he hai. Chori ka matlab wo aapke post ko copy karke apne websites par dalta rahta hai. Jisse aapke websites ki seo ranking, alexa ranking par bura asar padta hai. Aur apki websites/blog lagatar loss hoti rahti hai.

Mai copy paste karne walo bata du ki wo kisi dusre ki webistes copy karke apne hi pair me kulhadi maar rahe hai. Kyoki ek to unki blog Seo me acchi rank par nahi mil pa rahi hoti hai aur unke blog ko search engine se remove hone aur yadi aapki  websites blogger par hai to blog ko delete hone ka khatara bana rahata hai.

Post Ko Copy karne se kaise bachaye

Post Start karne se pahle aapko bata dete hai ki aap kisi bhi website ko hack hone se Or Copy hone Completely 100% nahi bacha sakte hai. Phir Aap apne Blog ki security ke niche ka step follow kar sakte hai.

1. Iske liye aap , sabse pahle blogger me sign in karke   dashboard   me jaiye.
Phir layout par click kijiye.

2. Aur   add a gadget    par click kijiye phir   html/javascript   par click kijiye
Ab aap niche ke diye gaye code ko copy kar lijiye.

 

3. Ab Code ko copy karke paste kare box me jo aap javascript box dekh rahe hai.


<style>body {-webkit-user-select: none; /* Chrome all / Safari all */-moz-user-select: none; /* Firefox all */-ms-user-select: none; /* IE 10+ */-o-user-select: none;user-select: none;}.post blockquote,table{-webkit-user-select: text;-moz-user-select: text;-ms-user-select: text;user-select: text;}</style>
source code- hindimehelp
4. Ab code ko save kar lijiye ab aap apna blog check kar sakte apka post copy nhi hoga. ye code aapke website ke text ka copy text disable kar deta hai.Ye script lagbhag sabhi popular browser par kaam karta hai.


kuch log internet par aise bhi hai jo kuch nahi kar sakte hai aur dusre ki mehanat pani ferna chate hai to mai samjhata hu ki aise logo ke liye to internet par se ban laga diya jana chahiye. Yadi koi sites open kare to open hi n ho. Aur to aur yadi wo kisi site par jaye to unki ip address se cut paste karne walo ko to block kar deni chahiye. aur mujhe lagata hai aisa kewal hackers hi karte ha lekin kuch arajak log bhi karte hai. Aisa mai kewal cut paste karne walo ke liye hi bol raha hu. To yadi aap hamare thought se sahmmat hai to humme support kare.

Last Words

Script ki madad se apne blog ko safe rakhna to jan liye hai lekin iske alawa bhi aap coding ka use karke right click ko disable kar sakte hai. Agar Aapko post jyada copy horahi ho to Aap Turant DMCA me report kar sakte hai.  Google Websmater ko report kar sakte hai.
Kaisi lagi ye trick hume bataiye yadi koi problem ho to humse puch sakte hai aur hume subscribe kijiye aur hamara fb page like karna mat bhooliye.