Blogger Blog ki template Kaise Change kare Full Guide

Blogger Blog ki template Kaise Change kare Full Guide

Blogger blog ka theme change kaise kare, Blogger Theme upload karne ki puri jankari aapko is post me de rahe hai jisse ki aap apne blogger blog ki template ko upload or change kar sake.

Template kisi website/blog ki kapde ke jaise hoti hai hai. hum jaisa chahe apne blo/website ko template ke dwara lookk de sakte hai. Template website ke liye bahut mayne rakhti hai. jaise ki maine kaha ki ye kapde jaisa hoti hai kyoki hamari pahchan aur personlity kisi khas kapde ke dwara ho sakti hai. Thik isi tarah template bhi hai hamari website ka template jitna acha hoga utni hi achi visitor or hamari traffic me barhottari hogi.

Template kyo change kare?

Template badlne ke bahut se reason ho sakte hai jo mai shayad bata n pau. Sabki apni-apni pasand. Vaise maii kuch karan batata hu jaise.- 
1. Apka template ki design achi na ho.
2. Template seo friendly na ho.
3. Apka blogger template full responsive na ho. 
4. Apki website/blog fast load na karti ho. 
5. Aap apne template se bahut bor ho rahe ho. Ya apki website par kisi template ko lagaye hue bahut din ho gaye aur apne website ko new look dena chahte ho. Aur bhi bahut se reason ho sakte hai.

Template OR Theme kaisa hona chahiye

Template kisi blog ke liye bahut mayne rakhta hai. template fast loading, seo friendly, full responsive , better design, easy navigation, jisse aapke visitor hamari website ko asani se parh sake. To kul mila karke hamre blog ki template aisa hona chahiye ki visitor aaye aur apke website par attract ho jaye.


Blogger template upload or change kaise kare?

Der n karte hue apko batate hai ki kaise blogger template badla jata hai. iske liye apko kuch step follow karne honge.,

1. Sabse pahle Blogger par apni gmail id se sign kare aur website ki dashboard  me jaaye.


2. Template par click kare. Phir right side me Backup/Restore par click kare.

Ek popup page open hoga


3. Ab Choose File  par click karke apna template selection kare aur Phir upload par click kar de. Kuch der me apka template upload ho jayega. 


Conclusion

Aapne jana ki Theme ko kaise upload kare. Theme ko badlana bahut jaroori hota hai jab theme ki design bekar aur nulled ho. Theme hamare blog ka ek important hissa hai. Isiliye theme ka selection achchi tarah se karni chahiye.
Kaisi lagi ye jankari hume bataye yadi koi problem aati hai aap hume comment ke jariye solution puch sakte hai.