Airtel Ki Call History Kaise Jane - How to Know Airtel Mobile Call Details

Agar Aap Airtel ki sim prayog kar rahe hai to aap airtel ki call details ke bare me jaroor janna chahenge. Kyoki ab kisi bhi mobile ki call history ko nikalna bahut hi asan ho gaya hai. Bas Aap kuch simple step se call history ko jaan sakte hai. Aaiye Aapko se batate hai.


How to get call history For Airtel Sim Airtel Ki call Details Kaise Malum Kare?
Airtel Ki Call History Ko Aap In simple Step Se turant jaan Sakte hai. Jaane  Ke liye pura post parhe. Aapko jis bhi airtel sim ki call details nikalni ho to usi number se ek message bhejna hota hai. Phir Jab Aap message ko send karoge tab aapka 50rs kat jayega. Jo iski fees charge hai.

1. Aapko Message Box ko kholna hai. 

2. Usme Aap Type Kare - EPREBILL >> Month Name >> your E-mail Id.  

EPREBILL >> Month Name >> your E-mail Id

3. Phir usko 121 Par Send kar de. 

4. Aapko Ek message milega jisme aapko Comfirmation ka message hoga aur Aapke main account se 50rs kat jayenge. 

5. Phir Kuch samay ke aapko ek sms milega aur usme aapka possword rahega aur aapko e-mail id par jisko aap sms par bheje the usi par ek file milegi. Jo PDF me hogi. 

6. Ab Pdf Reader Or File related Software se Aap file ko Open kare. Mobile me aaye hue possword se Aap File ko unlock kar de. 

7. Aapko file khul chuki hai aapko bas Details Janne ki jaroorat hai. Usme Aap Mobile Number, Kitni Der Tak Baat Hui hai, Kitna Paisa Kata hai, Uska Date & Time etc. Jaan Sakte hai. 

Must Read

To Aapne Jana Ki Airtel ki call details kaise malum kare. Aap chahe to airtel ki call history uske official app se se bhi jaan sakte hai. Bahut log mobile ki call history ko hack karna chahte hai to ye munkin nahi hai jab tak ki aapke paas sim card na ho or customer aapko khud se na bata de.