50 Google SEO killer Tips  Aapko Jaroor Janni Chahiye

50 Google SEO killer Tips Aapko Jaroor Janni Chahiye

Aapko Batane Wala Hu Google Seo Ki 50 Best Ya Samjhiye killer Tips Ke bare. Yadi Aap Blogging Kar Rahe Hai Or Apne Liye Koi Website Banayi Hai Aur Apne Website ko Achi rank par karna chahte hai to Aapko Hamari Ye Post Jaroor Parhe. Chaliye Aapko Batate hai Google Ki 50 Seo Tips.



1. Aap Sabse Pahle Apne Liye Koi Blog Banaiye Jisse Ki Aap Google Me Seo Kar sako. 

2. Aapko SEO ko Achi Tarah se Janne Ke liye In Words Ke Bare Me Janna Hoga. 

  • Crawl - Aapki Website Ko Google Dwara Khojne Ki Prakriya Ko Kaha Jata hai.
  • Index - Jab Crawler Dwara Aapki Web Ko Khoj Diya Jata hai Apki Site ke Nirdeshanusar  Google me add kar liya jata hai to ise kahenge index hona.
  • Googlebot - Google Jis Software Ka Prayog karta hai use Google bot kaha jata hai.
  • Seo - Search Engine Optimization
  • & Crawler - Crawler.
3. Aap Apni Website OR Blog ko Google Webmaster Me add kijiye.

4. Blog Ke Sitemap File Add kijiye.

6. Aap Apne Blog Aur Website ke liye Robot.txt ka use kijiye jisse ki Aapki Site ke kaun se pages google me index hona hai. Google Ko pata Chal Sake.

7. Unique Content Lihiye. Means Aap Apne dwara Likhe Hue Content hi publish kijiye. Copy Paste Mat kijiye. nahi Rank Aakar bhi chala jayega.

8. Aap Long Content Write kariye.

9. Aapko Lagatar Post karna Hoga. Update kiye gaye Sites ko Google bahut like karta hai. 

10. Apne Blog Me Meta Tag Use kijiye.

11. Keyword Research kijiye Taki Aapki Post Logo ke dwara search kiye result me aa sake.

12. Aap Visiter ko Samjhiye Taki Unke anusar hi site ko manage kar sake.

13. Jab Aap post likh rahe hai to post ke title ko acha sa attractive banaye

14. Title ke anusar hi post ko likhe.

15. Post me Bekar Ke bato ka Ullekh na Kare. Aapka Post Jitna Sankshit aur saral hoga. Wo Untan Acha Rank karegi chahe wo post 250 words ka hi kyo na ho.

16. Description ka Use kijiye.

17. Sitelinks Jaroor Se Prapt kijiye.

18. Search - box Ka Prayog kijiye. 

19. Aap Good SEO ke liye Breadcrumbs ka USE kar sakte hai.

20. Blog ke Liye Navigational Menu Ka Prayog kijiye.

21. Nofollow Links Ka Proyog Kijiye.

22. backlink Khoob dher sara banaiye. Jitna Aap bana Sako.

23. Interlinking Me Click Here, Page, Article Ke Piche Link Mat Add Kijiye. Iske Sthan par aap Aap Is Tarah se Likh sakte hai  '' hamare Is Parhiye ''

24. Post Me Image Ka Jaroor Prayog Kariye.

25. Image Alt Text Jaroor Likhiye. Yahi Aapke Image ko search engine me show hone me madad karta hai.

26. Aap hamesha Apne Mobile Friendly Design Rakhe. 

27. Aap social Sites Par Apne Post , Websites Ke URL jaroor Share kijiye.

28. Dusro Ke Blog par comment kare Apne blog ke url ke sath.

29. Yadi Aapke Website & Blogs par Duplicate Content hai Use Remove kar dijiye. Aap Chahe Copyscape.com ka prayog kar skate hai.

30. Apne Website Se related Vedio Banakar Youtube Par upload kar sakte hai.

31. Ye baat dhyan me rakhe ki aapke paas jitne useful content honge aapka site utna hi rank karega.

32. Bounce Rate kam karne ka prayas kare.

33.  404 page banaiye.

34. Permalink Seo Friendly banaiye. 

35. Domain Name Use kijiye. Jo Bina www aur Www ke sath open hota hai. 

36. Seo Par Practice and Reasearch hamesha karte rhe.

37. Content hamesha User Friendly banaiye. Jisse Ki User Ki Readability barhe. 

38. Google Websmaster ke search appearance ko check karte rahe. 

39. Aap Dusro ka Blog Bhi parhe kyoki koi perfect nahi hota hai. Aisa Karne se SEO ki samjh jaldi aayegi. hamesha Competitive Mahaul Banaye rakhe bina Kisi Dwesh aur jalan ke.

40. SSL Certifacate laga le.

41. Social Media Follow Button Aur Share Button Install kar le.

42. Apni Post ko Search me lane ke chakkar me jyada Keyword ka Prayog mat kijiye. Jo Keyword prayog karte hai. Wo Content Ke anusar content friendly ho.

43. Bhoolkar bhi Nulled Theme Mat lagaiye.

44. Aap Facebook page, Twitter Page, Google Plus Proffile Jaroor Banaiye.

45. Agar Aap Seo Ko Powerul Banana Chahte hai to Aap Ek hi Samay par post ko publish kijiye. Evening Time Best Time hai Seo ke Liye.

46. Aap Apne Ka App Bana Lijiye.

47. Content Ko Update karte rahe taki nayi nayi jankari visiter tak pahuch sake.

48. Google Algorithm Ko Prahte rahe Isse Aap ko Search Engine me Changes ki Jankari Milti rahegi.

49. All Search Engine Me Apne Website Ko Submit kar lijiye Iske liye aap kisi tool ki madad le sakte hai. 

50. Hamesha Apne Visiter Se Ache Relation Banaye Rakhe. Isse Aapki Site Ki reputation Barhegi Aur Traffic Bhi Barhegi. Log Aapka Blog Pasand Karne Lagenge. Jab Traffic Barhegi To rank Bhi improve ho jayega. 

Ye The 50 Seo Tips Jo Aapke Blog Aur Website ko Search Engine Higher rank tak pauchane me madad karega. Aap Inhe Follow Kar sakte hai. 
Jankari Achi lage to share kare. Hum Follow jaroor kare.