Aadhar Card Download kaise kare aur online nikale | Full Simple step

Aadhar Card Download kaise kare aur online nikale | Full Simple step

Yadi Aapne apna Aadhar card banawa liya hai to aap apne aadhar card ko 1 mahine ke baad online Aadhar card download kar sakte hai. Aur aapko apna adhar card ki original copy ko aadhar card ke banane ke baad aapke post-office par 90 din ke bhitar send kar diya jata hai. Jaha se aap  Aadhar card prapt kar sakte hai. Aapko yaha par Online Aadhar card Download karne ki aasaan se step bata rahe hai.

Aadhar Card Download kaise kare

Method 1 : With Enrollment Number

Aap Apne aadhar ko 28 din ke baad download kar sakte hai. Jabki aapka 12 digits aadhar number generate hua ho. To chaliye aapko simple step batate hai.

Step 1. Sabse pahle aap UIDAV ki official website ko visit kare.

Step 2. Ab aap niche ki taraff Aadhar Online services >> Download Aadhaar par jaye.

Step 3. Ab ek New window open hogi. Jisme aapko form bharne ko kaha jayega.

Step 4. Ab apne Aadhar ki acknowledgement slip ko le le. Aur Di gayi jankariyo ko Dhyan purwak bhar de. Jo jankariya bhari jayengi. Unko hum aapko ek - ek karke bata rahe hai.



  • Enrollment ID - Aapke slip par 14 digits ki enrollment id hogi. Use bhare. Ex. 1234/12345/12345
  • Date & Time - Ab slip ke anusar date aur time ko fill kare.
  • Full Name - Apna Pura naam likhe jo aapke slip me diya gaya hai.
  • Pin Code - Slip ke anusar pin code dale.
  • Captcha Code - Verify karne ke liye jaroori hota hai. ab aap jo ank dikh rahe hai wo box me type kijiye.
  • Mobile Number - Aap koi bhi mobile number Daal sakte hai. OTP pane ke liye.
Step 5. Ab aap Get one time possword par click karke otp ko prapt kijiye. Jis number ko dala tha usi par message aayega.

Step 6. Ab Dusre part me Apna OTP number dale.

Step 7. Validate & Download par click kare. Ab aapka Aadhar Download Ho jayega. Aadhar ko kholane ki jankari Aapko sabse niche batayenge.

Method 2 : With Aadhar Number


Is method me aapko aapke aadhar number se aadhar ka e-print download karne ki step batayenge.

Step 1. Ab aap page ke first par Aadhaar par tick kare.

Step 2. Aapko jo jankariya bharni hongi wo hai.
  • Apna 12 digits Aadhaar Number
  • Full Name
  • Pin code ( 6 Digits )
  • Captcha Code On Image
Step 3. Click Get one time possword aur aapke ragisterd mobile number par otp send ho jayega.

Step 4. Ab otp ko type kare. Aur Apna Aadhar card ka e-print download kar le.

Aadhar Card ko kaise Open kare

Jab aap Aadhar card ka elecronic version download karte hai wo possword encrypted hota hai. Aap direct pdf file ko open nahi kar sakte hai. Aapko pdf file ko open karne ke liye apna Pin Code number dalna Hoga . jab aap apna 6 digits pin code dalte hai to aapka aadhaar card download kiya hua e-print turant open ho jayega.

Updated !!
Jab aap ka New aadhar card ko open karne ki baat aati hai to usme kuch important changes kiya gaya hai. jaise yadi aapko apna aadhar card ka file open karna hoga to aapko apne naam ka pahla 4 character aur date of birth ka last year jo 4 character hoga. Ko dalne ke baad hi aadhar pdf file ko open kar payenge. 

For example - 
Name - Ramesh Prajapati
DoB - 05-07-1950
To aapka Possword is tarah hoga- Rame1950 | I hope aap samajh gaye honge.

Conclusion
Humne aapko bataya Aadhar card Download karne ki simple step. I hope aapko pasand aayi hogi. Is post ko share jaroor kare.