Internet kya hai aur kaise kaam karta hai?

Internet kya hai aur kaise kaam karta hai?

Internet ek duniya ka sabse bada network hai. Iske jariye hi hum apne dosto, Families, aadi se connected rahte hai. Internet se hume prtyaksh aur aprtyaksh roop se labhi bahut hai.

Aaj internet ke bare me aapko batate hai ki Internet kya hai aur iska kaam karne ki process kya hai.



Internet kya hai OR Internet kise kahate hai?

Internet means jaal me pravesh karna hota hai iska hindi me meaning - Antarjaal hota hai..Matlab Internet desh-videsh me rakhe gaye computer o ka group hota hai jo settelite aur server ke madhyam se jude hota hai aur aapas me communicate karte hai.
Aiye sabse pahle Internet ke itihas ke bare me jaan le sabse pahle Internet ka use americi secuirity department ne kiya tha september 1969 me.jiski range simit thi aur kewal scientist aur sainiko ke bich me gopniy message bhejne aur prapt karne ke liye use ki jati thi. baad me 1984 me  bharat me internet aaya. Aur iske bad internet ne dhire-dheere sabhi par apni pakad bana li. Aur aaj ka sabse bada network ban chuka hai.


Internet kaise kaam karta hai?

 :- Internet me mukhya rup se 4 shabdo ka use kiya jata hai.
1.www
2.website
3.browser
4.url

In sabhi ke bare me sankhipt me jankari di gayi hai

1. WWW

Aapne dekha hoga ki log kisi website par jane ke liye log pahle www lagate hai at last ye www kya hota hai. Aiye mai ise bata rha hu.
Darasal  www- ka full form- world wide web hota hai jo server ka group hota hai aur http manak se juda hota hai. aur ye kisi website ke web pages ka collection hota hai.
For example-http://www.google.com

Read - Google par kuch bhi search kare aur direct result paye [google search tips]

2. WEBSITE

website vo place hota jaha par hum apne manpasand Geet sangit aur bahut si suchnaye pa sakte hai. Website par hume kisi bhi subject par suchanaye direct mil jati hai.Example-http://sabhow.blogspot.com

3. BROWSER


browser ki sahayta se hi hum www me sthit web pago ko parh sakte hai. Uc opera google chrom,firefox adi browser hai.

4. URL

url ka full form -uniform resource locater hota ha.www me sthit prtyek website ko ek url(PATA) diya jata hai jo http:// protocal se juda hota hai. Example-url= http://sabhow.blogspot.com

5. HOTLINK

Isme kisi website me ki si samany customer ko block kar diya jata hai. Aur kisi vishesh logo ki us site ko access karne ki anumati hoti hai. aur hum nah chahte ki hamari site koi bhi dekh n paye to aap iske through apni puri site ko hide bhi kar sakte hai.

Internet se related kuch important bate -

1.jab aap net par kisi website ke pahle page par jate hai to wo uska homepage hota hai.
2. Aaj Internet par websites ki sankhya itni hai ki inko gina jana bahut hi mushkil hai aur din par din websites barhti hi ja rahi.
3. Internet par Education, research, etc ke alawa aap paise bhi kama sakte hai. 

Must read - Twitter kya hai aur twitter par account kaise banate hai ?



Internet se labh 

Internet se labh bahut se hai.jaise bina kagaj ke letter send karna . Dur baithe kisi se bate karna, kisi imformation ko pana adi bahut se labh hume directly mil jate hai.

Kyoki aaj log kahte bhi hai

 "Internet aaj hamare jeean me ek mahatvpurna sthan rakhta hai aur ye hamare jeevan ka paryay ban gaya hai. Iske bina to aaj ke itne viksit jeevan me internet nahi to hota to kya hota. aur aap maan lo ki ek din ke liye internet system band ho jaye to kya hoga ?? Jara sochiye..".

Kaisi lagi ye jaankari hume bataye . Hume aapke suggestion,comment ka is site par intzar rahega kal.