Blogger theme ki menu ki settings kaise kare

Blogger theme ki menu ki settings kaise kare

Aaj-kal bloggers ki sankhya me nirantar vridhi ho rhi hai.to us lihaj se blogger theme ke bhi naye-naye bahut se design kiye ja rhe hai.jo free me to kuch rate par mil rhe hai. Template ki design , designer itne ache se kar dete hai ki wo blog ka attraction aur bhi barha dete hai.  to Aaj is post me template me menu ko edit kaise karte hai .aaj iske bare me details se jankari di gayi hai.

Theme ke menu ki puri jankari aur Theme menu se labh:
Jis prakar aap kisi bade hotel me jate hai to sabse pahle apko waiter dwara food list di jati hai thik usi tarah hi ham apne blog [tempalte] me menu hota hai.Menu ka arth hota hai-soochi means list.Menu se hum apne visiter ko ye batate hai ki hamare blog aur website me kya kya hai jisse visiter apke website ke dwara apne man ki jankariya le sake. Menu se hamare website ki sabhi pages ki access bina koi problem hue bas ek click me ki sakti hai. Menu Seo ke liye bhi jaroori hai. Menu se hamari website search engine me ache rank milti hai aur adsense ke liye apply kar rahe hai to menu jaroor edit kare. Bina menu edit kiye hue website ko adsense approve nahi hata hai kyoki bina menu ki website user ke anukool nahi hoti.

Theme ki menu Edit kaise kiya jaye?
1. Sabse pahle aap ne jo template load kiya hai. Ya phir jo template apke pas hai uska demo dekh le kyoki isse apko asani hogi menu edit karne me mai batata chloo ki menu popularly header par hote hai.

2. Template ko edit karne se pahle template ka Backup le le kyoki koi problem aane par apka template Backup kaam dega. aur aap apne theme ko restore kar sakte hai. yadi aap janna chahte hai template ka backup kaise le to yaha click kare.

3. iske baad aap NOTEPAD or kisi html editor me template  ko open kare.
Phir aap us word ko CTRL+F dabakar ke  search kijiye jise apne template ke demo me dekha tha.

4. Phir word ko pane par aap apne man ka word us jagah par de sakte hai.aur yadi aap us word par link dena chahte hai to href='your link' edit kar sakte hai.

For example-

Blogger

Wordpress

Blogging Tips

Hindi me Help

All post

Support me India

Learning Website

Useful Imformation

Theme Menu

Sabhow

Note :
Tag se aapka menu start ho. Aapka menu tag
se connected hona chahiye kyoki Ye seo ke liye jaroori hota hai.

5. Phir aap apne  template ko edit karke save kar dijiye aur phir aap chahe to blogger par Preview load karke check kar sakte hai. Ye link hamare website par hyperlinked hote hai jab hum us word par click karte hai to us link par sidhe chale jate hai.

Theme ke menu hamare blog ke kisi bhi side me lagaye ja sakte hai. Menu lagane ki sabse achi jagah header ke niche hoti hai. Header ke niche ki menu samajhne yogya hoti hai. is type ke menu lagbhag sabhi log jante bhi hai. Kuch log Chupe hue menu ya phir sanketik menu icon ko samjh nahi pate aur hamari site ko full access nahi kar pate hai. Hamare India me khaskar Mobile user jyada hai isiliye theme ke menu horizontal type ke ho to ekdam best rahenge. Waise aap apne blog ki design ke hisab se menu achi tarah se create kar sakte hai aur ha theme ko responsive jaroor banaye.

Kaisi lagi ye jaankari hume bataye apke comment,suggestion etc ka intzar rahega aur last me hamara fb page like karna n bhoole.