Twitter par possword kaise reset/change kare

Twitter par possword kaise reset/change kare

Twitter Par Aap Possword Kaise Change kare in simple tariko se Aapko hum is post me bata rahe hai. 
Jiasa ki humne aapko pichle post me bataya tha ki twitter par apna account kaise banaye aur ab is post me aapko twitter par apna possword bhool jaane par kaise use change/badalte hai. Yadi aap nahi jante hai ki twitter par account kaise banate hai aap use abhi yaha click karke parh sakte hai.

Twitter Par Possword Kaise Change karte hai?

step 1. aap google me  twitter possword reset likhkar search kare. Or Twitter par apna possword badalne ke liye is link par click kare

step 2. Click or search karne ke baad ek window open hogi jisme se aapko ye availble jankari bharni hogi.
  • Apna phone number 
  • apna user name jise (jo aapko twitter par account banate waqt aapko mili thi.)
  • Apna email address dale jise aapne twitter par account banate samay dala tha.
  • Uproqt me se yadi aap koi bhi ( jaise- aapka twitter phone number, aapki email account, or username ) jante hai to use box me daale. jisse ki twitter apka account search kar sake aur aapka possword reset ho sake.



step 2. Ab twitter aapki id ko search karega yaha par kuch point dhyan dene yogy hai.
  • yadi aapne user name dala hai to twitter aapki id search karne ke baad aapse mobile number puchega jise aapne twitter ka account banate waqt enter kiya tha.

  • yadi aap apna mobile number enter kiye hai to wo aapki twitter id search karke apke mobile number par ek verification code ( jise otp bhi kaha jata hai ) send karega.

  • Yadi aapne email ko dala hai to aapke paas do option honge.
  • 1. aap apna otp mobile number par send kare
  • 2. apne email id par comfirmation code prapt kare.

step 3. yaha par humne twitter box me apni email id dali aur apne mobile number par code prapt karne ka request kiya.



step 3. Ab twitter aapke mobile number par ek code send karega jise aap agle page ke open kiye box me enter kare aur submit button par click kare. 

step 4. ab ek page open hoga jisme aapko apna possword enter karna hai. Aur possword ko dobara enter kare . Iske baad aap submit button par click kare.

step 5. Ab ek message aayega ki aapka possword badal diya hai. ab aap apne twitter login panel me jakar dobara se apne account me login kar sakte hai. 


Conclusion

Twitter par bahut si badi-badi hasti apne message ko twit kart hai hai. iska ek fayda ki ye apne message ko sirf kam se kam shabdo me hi likhana hai. Aur apne message ko kam se kam words me logo tak pahuchana hota hai. Twitter account ki possword ko yadd rakhe aur twitter ka lutf uthaye. Aapko ye jankari kaisi lagi hume bataiye aur aap hume twitter par possword change karne se judi samasya par koi bhi question ke liye comment kar sakte hai.