Facebook par possword kaise change or reset kare

Facebook par possword kaise change or reset kare

Aisa aksar hota hai ki hum apne facebook ka possword bhool jate aur recover karne ki jaroorat hoti hai. Is Post me Hum Facebook Possword Change karne ke bare me bata rahe hai. Jisse Aap apne Account ko Fatak se recover kar sake. 

Facebook Possword Kyo Change kare

Facebook duniya ka sabse bada social network hai. Isse hum puri duniya se contact kar hai. Facebook ki sabse badi visheshta hai ye sabhi logo ke liye free me availble hai. Ise koi bhi use kar sakta hai. Aisa hota hai ki facebook par id banakar log kuch din facebook use karte hai aur phir kuch samay bad facebook use nahi karne se apni id aur possword ko bhool jate hai. Ya phir apka possword koi dusra jaan gaya hai aur apke facebook account ka galat istemaal kar raha hai. Is dasha me Apke facebook account ko reset kiya ja sakta hai. Wo bhi kuch asan step ke dwara jisse aap apna facebook account dubara use kar sake..



Method 1. Facebook Possword Kaise Badalte hai

Yadi app apne facebook account ka possword nahi bhoole Phir bhi Yadi aap apne facebook account ka possword change karna chahte hai. To in step ko follow kare.

#step .1
Sabse pahle Facebook par  login kare aur right side me corner par click kare.

#step .2
Ab Setting par click kare.

#step .3
Ab general >> possword par click kare.


#Step .4
Ab Apna old possword jo aap facebook account par current me use kar rahe hai iske baad apna new possword dale. Possword ko confirm kar le.

#step .5
Ab change possword par click kare. Apka possword succefully change ho gaya hai.


Method 2. Change Facebook Possword

Yadi aap apne Facebook account ke possword ko bhool gaye hai. To is asan se step ke sath possword change kiya ja sakta hai.

#step .1
Sabse pahle facebook ki website ke home page par jaye.

#step .2
Ab forgot possword par click kare. Usme apna username or mobile number jisse aap apna facebook account banaye hai. Wo number dale.

#step .3
Facebook aapke account ko search karega aur puchega ki aapka account hai? ya aap hai? Continue par click kare.

#step .4
Ab apke registered number par ek message aayega jisme aapke 6 digits code honge . Jise lekar confirm karna hai. Confirm karne ke baad aapke samne possword change karne ke option honge.

#step .5


Apna new possword enter kare aur phir apne possword ko confirm kar le. Change possword par click kare. Ab aap dekhenge ki aapke facebook account ka possword change ho gaya hai.


Hamara ye kaise laga hume bataye aur hume like jaroor kare. Any Problem hone par hume comment kare. Hum aapke sawalo ka jawab denge.